5 November 2011

USS NE RAAT KE ANDHERE MAIN,
MERE HATH KI HATHELI PAR,
LIKHA THA APNI UNGLI SE,
MUJHEY PYAR HAI TUM SE,
JANEY KAISI ROSHNAYI THI WO,
KE MIT'TI BHI NAHI 
AUR
DIKHTI BHI NAHI..!!
ZINDAGI
IK RAAT HAI,
JISS MAIN NA JANE KITNE KHAWAB HAIN,
JO MIL JAYEN,
WO APNE HAIN,
JO TOOT JAEN,
WO SAPNEY HAIN..!!
Main hoon ek aam si larki,
bohat hi aam si larki hoon,
na main aankhoon ki janbish say taaray toor sakti hoon,
na main ek isharay say rastay moor sakti hoon,
na mairi chaal main chashmoon ki ravani hai,
na mairi aankhoon main beetay zamanoon ki kahani hai,
main jab bhi baat kerti hoon to lab say gul nahi jhartay,
mairay qadmoon ki aahat say chashmay nahi thamtay,
na aawaaz main mairi hawa ki thamgi hai,
na ashaar main mairay wafa ki bekhudi hai,
bohat hi aam si larki hoon.,
magar chahat say bhara ek dil,
mairay andar dharakta hai,
jisay khwaaboon main basaya hai,
woh sab say khoobsurat hai.,
main hoon ek aam si larki,
bohat hi aam si larki hoon....!!
Taree zulfain bakharnay ko ghata kah doo to kaisa hoo
Taray aanchal kay urnay ko saba kah doo to kaisa hoo

Bazahar chup ho lakin phir bhee aankhoo main hain afsanay

Taree khamoshiyon ko bhee sada kah doo to kaisa hoo

Maray shikway shikyat par bhee mujh say pyar kartee ho
Taree chahat ko main sab say juda kah doo to kaisa hoo

Taree yadain maray dil par ajab sa shr kartee hain
Taree yadoo ko gar main aik nasha kah doo to kaisa hoo

Tumharay bin mujhay jeena bara dushwar lagta hai
Tumhain main apnay jeenay kee waja kah doo to kaisa hoo

Jo tum naraz na ho to mujhay aik bat kahnee hai
Agar main pyar say tum ko wafa kah doo to kaisa hoo..!!
Zaban-o-lafz ki sari kee sari
Un kahi batein

Tumhari nazer kernay ko

Meri baytab see aankhein

Bohat himat to kerti hain

Mager phir har jati hain !

Tumhari bolti aankhoon say takra ker

Her ek koshish ko thukra ker

Kisi roothay howay, Sehmay howay say

Tifal ki manand

Meray ehsas k jhoolay main aa ker lait jati hain

Meray sachay say ek jazbay ki aangasht-e-shahadat thaam ker

Phir so bhi jati hai.
Meri bay khawab see aankhein..! !
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha...!!