6 December 2011

December k mahine ka
Wo shayd 10'waan din tha

Baras guzray kaee

Main ne MOHABBAT
lafz likha tha

Kisi kaghaz k tukray par

Achanak yad aya hey

kisi se baat karni thi

Usay kehna tha jaan-e-jaan

Mujhey tum se MOHABBAT he

Magar main keh nahi paya

Wo kaghaz aj tak lipta para he dhool main lekin

Kisi ko De Nahi Paya

Doobara Chah Kar Bhi Me

Mohabbat Kar Nahi Paya...!!!
usay kehna
December lout aya hai
Hawayein sarad hein
Aur zindgi
Tanhayi ke zindaan mein
Larzaan hai
Usay kehna
Dhoop nahi niklay gi
Tou baraf kesay peglay gi
Usay kehna
Agar wo lout na
Aya tou
Sansein kesay ayein gi...!!
Tuj Say Judai Ka Dukh
Tere Hijr Ka Karb
Dekh! Phir Say Aa Gai Hain
December Ki Sard Ratain
Azab Ratein
Tere Kurb Main Dobi
Khwab-Nak Ratain
Teri Wo Pur Noor Ratain

Tujhe Kia Khaber

December Ki Sard Ratoon Main
Tere Sung Beeti Sardion Ki
Khoshgawar Khobsurat Shamoon Ko Yaad Kerta Hoon
Is Mohoom Si Tamana K Sahare
Teri Talash My
Sarkoon Per Awara Phirth Hoon

Aate Jate Chehroon Main Tujhe Khoja Kerta Hoon

Shayad K Wo Tum Ho

Aur Thak Haar Ker Jo Laut.Ta Hoon

To Khud Per Khob Hasta Hoon
Phir
Phoot Phoot Ker Roota Hoon...!!

29 November 2011

Chalo ik nazam likhtay hain,
Wo aisi nazam ho jis main,
Kisi ka zikar hi na ho,
Kisi ki fikr hi na ho,
Kisi ki be wafai ka,
Kisi ki kaj addai ka,
Kisi ke lot ane ka,
Kisi ke chhor jane ka,
Na uss main phool hi mehkain,
Parinday tak nahi chehkain,

Wo aisi nazam ho jis main,

Kisi ki yad hi na ho,
Koi faryad hi na ho,

Wo aisi nazam ho,

Jis main na barish ho,
Na badl hon,
Na bheega bheega kajal ho,

Wo aisi nazam ho jis se,

Kisi ki aankh na ho nam,
Na zyada dukh hon,
Na hi kam,

Wo aisi nazam ho jis main,

Na shikva na shikyat ho,
Koi aisi hikayat ho ke,
Jis say dil behal jaye,

MGAR

Wo nazam main Kaise likhon,
Koi bata day na,
Wo aisi nazam,
HAAN
Jis main kisi ka Zikr hi na ho,
Kisi ki fikr hi na ho.....................!!
Milay Ho Baad Muddat Ke
Tou Kaisi Yeh Jhijak Si Hai?
Labon Per Lafz Kyun Aa Kar
Adaa Honay Se Qaasir Hain?
Jo Kehna Hai Woh Kehh Daalo
Magar Thehro!
Suno Lekin!
Mujhay MujhSe Bicharrnay Ki
Koi Taaweel Mat Daina
Tumhari Chuup Ke Lehjay Ko
Abhi Bhoola Nahin Hoon Main
Tumhari Kham'shi Ke Sab
Mujhay Mafhoom AzBar Hain
Tumharay Un-Kahay Lafzo'n Ko
Dil Ab Bhi Samajhta Hai
Suno! Be-Rabt Lafzo'n Ke
Koi Ma'aani Nahin Hotay
Suno! Lafzon Ke Pehloo Se
Agar Mafhoom Uthth Jaaye
Tou Baaqi Kuch Nahin Rehta
Khizaa'n Ki Ruut Mein Gulshan Ko
Kabhi Ba-Ghaur Dekha Hai?
Keh Jab Pattay Bikhar Jaayen
Tou Shaakhain Baanjh Lagti Hain
Keh Pattay Zard Bhi Ho'n Tou Shajar Ki Shaan Hotay Hain
Na Karna Ab Koi Waada
Hamesha Saath Rehnay Ka
Keh Bichhrray Mil Bhi Jaatay Hain
Keh Mil Kar Phir Bichharrnay Ke Bhi Tou Imkaan Hotay Hain
Jabhi Kehta Hoon Main Tum Se
Mujhay Mujh Se Bichharrnay Ki... Koi Taaweel Mat Daina....!!
YooN Hawa chali
Gard say Ata tan-badan mera
phir utha chali
yooN hawa chali

main k khwab-gar, gharq sar-basar

Husn-o-ishq main , rung-o-noor main
thi yunhi talab
Zindagi dil-e-naasaboor main
Lehr waqt ki, sakht sangdil
sub baha chali

YooN hawa chali


naqsh jaaN-faza, rung dil ruba

Husn ki rida par naqoosh thay aesay ja-ba-ja
fan k aasmaN par najoom thay
qaaflay sabhi jo wafa ky thay, purhajoom thay
naqsh mit gaye, rang utar gaye
taaray bujh gaye
qaaflay lutay
main khara hoN ab, apnay ehd main
chaarsoo miray simtein mit gayieN
hooN khajil khajil , rooh muzmahil
sochta hon main
kab wafa chali
yooN hawa chali.......!!
Hawa ki beti

Pareshan kyun hai


Tujhe kia huwa hai


Kyun bikhri hain zulfain


Kyun daman hai maela


Kyun jabeen pe shikan hai


Hathoon ki mehndi kahan kho gaye hai


Kyun khamosh hai


Kyun majboor hai


Pereshan kyun hai


Tu hawa ki beti


Tumhi ne to ghar ko ghar hai banaya


Tumhi ne to hum ko muhabat sikhayi


Tumhi ne to sab ko manzil dikhayi


Tumhare liye to chaman khil khilaya


Tumhare liye hai gulon ki ye khushboo


TumhI se to duniya main hai ye ujaala


Phir ye tareek rahain


Kyun tera muqadar


Is jalti zameen pe


Kyun tera thikana


Aangan main tere ye shoole hain kaise


Kyun tu ne hai apne ghar ko jalaya


Hawa ki beti


Pereshan keyun hai


Tujhe kia huwa hai.......!!
Suno logo....!!
Gunaah saarey zameeN se aasmaaN tak,
Phail jaaiN or,
Falak ko daiN azaabooN ki agar dawat,
To aise mein nadaamat ka koi qatraa,
AzaaboN ke waseeh daryaa ke rukh ko,
Morr deta hay, junooN ko torr detaa hay,
Agar ye haath uth jaeiN duaa ko to,
GunaahooN ke pahaarooN ko mitaa daalaiN,
Zameen-o-AasmaaN ko yeh hilaa daalaiN,
Chalo hum tum duaa kar laiN,
Khudaa se iltijaa kar laiN,
Khaloos-e-dil se maangaiN to,
WafaaeN radd nahi hoteen,
Duaaein radd nahi hoteen...............!!
Aziat apni qismat thi aziat se nahi nikly,
juda ho kar bhi hum dono mohabbat se nahi nikly,,

Aana ke daae'ron main the so aik doje ko dhutkara,

Magar phir umar bhar dono malamat se nahi nikly,

Qadam chokhat par rakhty he ye bazoo phael jaty hain,

Mohabbat se Nikal Aae hain aadat se nahi nikly,

Bohat mumkin tha ruk jaty pukara hi nahi tum ne,

Tere koochy se hum itni bhi ujlat main nahi nikly,

Mere jazbat abhi mere bass main nahi rehty,

Ke aanso ab teri khatir ijazt se nahi nikly...........!!
Abhi kuch din mujhe meri Mohabbat azmane do ,
Mujhe khamosh rehne do ,

Suna he Ishq sacha ho to khamoshi lahu ban ker
ragon me naach uth’ti he ,

Zara us ki ragon me Khamoshi ko jhoom jane do ,
Abhi kuch din mujhe meri mohabbat aazmane do ,

Usee main kyun btaon main ne usko kitna chaha hy ?

Btaaya Jhooth jata he k sachi baat ki Khushbu to
khud mehsoos hoti he ,

Meri baatain , meri sochian , us’se khud jaan jane do ,
Abhi kuch din mujhe meri Mohabbat azmane do ……..!!
Wo jo mud’dato’n sy
mila nahi

Main bhi dhoondny

main thaka nahi

Usay dhoonda mene

gali gali

Koi chorhi mene jaga nhi


Sab ny kaha usay bhool ja


Dil ny kaha wo bura nhi


Bhula duun usay main

bhi agar

Phir farq hum me

raha nahi

Milte nhi tou kia

hua

Mere dil se wo tou

juda nahi …!!
Aye Anjan Larki
Jab Udas Lamhon Main
Tum Ko Koi Yad Aaye
Sochna
To Phir Khud Say
Yeh Sawal Bhi Karna
Kis Nay Pooja Tha Tumhain
Kon Tha Woh Kaisa Tha.....!!
Azmat-E-Zindagii Ko Bech Diyaa
Ham Ne Apanii Khushii Ko Bech Diyaa

Chashm-E-Saaqii Ke Ik Ishaare Pe

Umr Kii Tishnagi Ko Bech Diyaa

Rind Jaam-O-Subuu Pe Hansate Hain

Shaikh Ne Bandagii Ko Bech Diyaa

Rah Guzaaron Pe Lut Gaii Raadhaa

Shaam Ne Bansurii Ko Bech Diyaa

Jagamagaate Hain Vahashaton Ke Dayaar

Aql Ne Aadamii Ko Bech Diyaa

Lab-O-Rukhsaar Ke Ivaz Ham Ne

Sitvat-E-Khusravii Ko Bech Diyaa

Ishq Beharuupiyaa Hai Ai ?Sagar?

Aap Ne Saadagii Ko Bech Diyaa....!!

23 November 2011

Kabhi barish brsti hai
To mujhko yad aata hai

Wo aksr mujh se kehti thi

Mohabbat aik barish hai

Sab hi pe jo barasti hai

Magar phir bhi nahi hoti

Sab hi ke wastey yaksan 
Kisi ke wastey rahat

Kisi ke wastey zehmat

Main aksar sochta hun ab

Wo mujh se theek kehti thi,

Mohabbat aik barish hai

Sab hi pe jo barasti hai

Kabhi mujh pe bhi barsi thi

Magar mere liye barish

Kabhi na ban saki rahat

Ye rahat Q nhi banti

Kabhi mein khud se puchoon to

Ye dil deta duhai hai

Kabhi kachay makano'n ko
 
Bhi barish raas aai hai....?
Aur phir toot ja?
Khiloney
muskara
Kisi se dil laga
Aur phir toot jaa

Khushi dhunde ga tu

Mileen ge lakh gham
Tujhay thukrayeen ge
Yeh pathar k sanam

Yeh dhokah tu bhi kha

Kisi ko aazmaa
Aur phir toot jaa

Mile gi aik din

Mohabbat ki saza
Urye ga rang bhi
Jale ga dil tera

Yaqeen kar pyaar ka

Yeh sadma bhi utha
Aur phir toot jaa....!!
Kaho,
woh dasht kaisa tha?
Jidhar sub kuch luta aaye
Jidhar aankhain ganwa aaye

Kaha,


sailab jaisa tha,

bohot chaha keh bach niklain magar sub kuch baaha aaye

Kaho,

woh hijer kaisa tha?
Kabhi choo ker usay dekha
To tum nay kia bhala paya

Kaha,


bus aag Jaisa tha,

usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye

Kaho,

woh wasl kaisa tha
Tumhain jab chuu liya us nay
To kya ehsas jaga tha?

Kaha,


ik raastay jaisa,

jidhar say bus guzarna tha, makan lekin bana aaye

Kaho,

woh chand kaisa tha?
Falak say jo uttar aaya!
Tumhari aankh main basnay

Kaha,


woh khawab jaisa tha,

nahi taabeer us ki, usay ik shab sula aaye

Kaho,

woh ishq kaisa tha?
Bina perkhay kia jo tum nay

Kaha,


titlii k rang jaisa,

bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye

Kaho,

woh naam kaisa tha?
Jisay sehraaon aur chanchal
Hawaon per likha tum nay

Kaha,


bus mosmoon jaisa,

na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaye

Suno,


khawahishon ki lehron per sambhalna kion hua mushkil?

Bataya ,
paanion per khawab ki rakhi bena jaisay
Bhala tum rooh ki in kirchion main dhoondtay kia ho?

Kaha,


yeh itni roshan hain keh sooraj ha diya jaisay

Suno aankhon hi aankhon ka bayan kesay laga tum ko?
Laga,
phoolon say sargoshi si kerti ha saba jaisay.........!!
I wont say "I'll never make u cry";
Bt I'll make u smile before ur tears get dry...,

I wont say "I'll never tell u a lie;

But If I do, I do it for a reason, some day I'll tell u why...,

I dont say "we'll never have a fight";
But I'll say I'm really sorry when I realize u were right...,

I dont say "Life together will be... easy & bright";

But when things get tough...,
I'll hold u tight to me....,

I got nothing more to say,

I got nothing more to prove.....,
But Always remember....

♥ I love you forever! ♥
Azal Se Hai Mohabbat Maawra Lafzo`n Ki Maala
Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai
Mohabbat Soch K Aakaash Par Baadal Ki Soorat Mein
Sada Parwaz Karti Hai
Kabhi Baarish Ki Boondo`n Mein Simat Kar Dil Ki Dharti Par
Utarti Hai,,, Bikharti Hai!
Ada Ley Kar SaBa Se Ye, Gulabo`n Se Mehak Ley Kar
Dhanak Se Rang Ley Kar Aur Sitaaro`n Se Chamak Ley Kar
Haseen Aanchal Banati Hai
Isi Aanchal Se Phir Khuwabo`n K Kachay Rang Sajati Hai
Mohabbat Aazmati Hai
Kabhi Ye Shayir Ban Kar Lafz Ki Hurmat Barhati Hai
Kabhi Ye Saaz Ban Kar Dheeray Dheeray Gungunati Hai
Sarapa Aankh Ban Jati Hai Ye Mehboob Ko Paa Kar
Anokha Lams Ban Jati Hai Koo-e-Yaar Mein Jaa Kar
Najanay Koan Sa Mantar Ye Parh Kar Holay Holay Se
Kisi Ki Band Palko`n Mein Bina Dastak Diye Yakdum
Utar K Ghar Banati Hai
Mohabbat Muskurati Hai
Ye Khushbu Hai Hamesha Phool Ki Saanso`n Mein Hoti Hai
Bana Dey Chaand Teri Shab Ko Jo Ye Aisi Moti Hai
Kasak Hai Daa`emi Is Mein Buhat Be Naam Lazzat Hai
Mohabbat Ki Yehi Tareef Hai K Mohabbat Hai
Mohabbat Ka Tumhein Idraak Ab To Ho Gaya Hoga
Ye Jo Zakhm Deti Hai Kabhi Sehnay Nahi Deti
Mohabbat Rooth Jaye To Kabhi Jeenay Nahi Deti..........!!
Chalo Woh Ishq Nahi Chahne Ki Aadat Hai
Par Kiya Kareen Hume Ek Dosre Ki Aadat hai,

Tu Apni Sheesha Gari ka Na Kar Hunar Zaya

Main Aayena Hoon Mujhe Tootne Ki Adat Hai,

Main Kiya Kahoon K Mujhe Sabar Kiyo Nahi Aata

Main Kiya Karoon K Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai,

Tere Naseeb Main Aye Dil e Sada Ki Mehroomi

Na Woh Sawali Na Tujhe Mangne Ki Aadat Hai,

Wisal Main Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam

K Usko Neend Mujhe Rat Jage Ki Aadat Hai,

Yeh Mushkalin Hun To Pher Kayse Raste Tay Hoon

Main Na Saboor Use Sochne Ki Aadat Hai,

Yeh Khud Aziyati Kab Tak “FARAZ”

Tu Bhi Use Na Kar Yaad Jise Bholne Ki Aadat Hai...!!
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say

Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay

Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi

Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi ‘Mohsin’ Ki Aati Hai Sada

Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi..!!
Mujhe Maaf Kar Mere Hamsafar

Tujhe Chahna Meri Bhool Thi


Kisi Raah Par Jo Uthi Nazar


Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi


Koi


Nazam Ho


Koi


Ghazal Ho


Kahin


Raat Ho


Kahin


Seher Ho


Woh


Gali Gali


Woh Sheher Sheher


Tujhe Dhoondna Meri Bhool Thi


There Gham Ki Koi Dava Nahi


Mujhe Tujhse Koi Gila Nahi


Mera Koi Tere Siva Nahi


Yehi Sochna Meri Bhool Thi


“Mujhe Maaf Kar Mere Hamsafar


Tujhe Chahna Meri Bhool Thi…..!!

22 November 2011

Main Tere Shaher Se Guzra Tou Kuch Ajab Sa Laga
Har Eik Morr Peh Naqaam Hasratoon Ka Hajoom

Har Eik Raah Mein Maqrooz Khuwahi’shoon Ki Qataar

Har Ek Qadam Peh Shikasta Nidama’ton Kay Mazaar

Har Eik Aankh Mein Marg-e-Ta’luqaat Ka Soog

Har Ek Rawish Peh Rawaan Justoju-e-Rizq Mein Loog

Tamam Log Wohi Loog Thay Kay Jin Say Kabhi

Nazar Chura K Guzarta Tha Mein Hawa Ki Tarah

Tamam Sa’yee Meri Aankh Mein Bikhartey Rahey

Kisi Kareeb Ki Basti Kay Aash’na Ki Tarah

Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga

Keh Jaisay Shaher Wohi Hay, Wohi Nahe Hay Magar

Koi Gali , Koi Manzer, Kisi Rawish Ka Mizaaj

Jabeen-e-Khaak Mein Pai’west Hein Firaaq Kay Daagh

Fazaa-e-Zard kay Sa’ye Mein Ehtiyaat Kay Saath

Ujaar Baam Mein Chalta Howa ……….. Udaas Chiragh

Hawa Say Pooch Raha Tha…… Ek Ajnabi Ki Tarah

Meray Safar Ka Sabab…..Tere Hamsafar Ka Suraag

Har Ek Sawal Mujhe Kitna Be-Sabab Sa Laga

Main Tere Shaher Se Guzra Tou Kuch Ajab Sa Laga....!!
Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai
Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat

Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

Dil per paani peeney ati hain umeedien

Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai

Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon

Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai

Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao

Esa zakham to dil per khaya jasakta hai

Phatta purana khawb hai mera phir bhi "Dost"

Is mein apna aap chupaya jasakta hai........!!
Bewafa Zamanay Main
Piyar Dhoondnay Walo
Matti Ki Moorat Main
Bholli Bhaalli Soorat Main
Piyar Kesay Milta Hai
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay

Roo Rahi Hai Shehnaii

Bheer Main Hai Tanhaii
Rooknay Se Ruktay Hain
Kab Bhala Yeh Herjaii
Rishtay Kachay Dhagay Hain
Yeh Tu Maan Lo Pehlay
Yeh Tu Maan Lo Pehlay

Benaam Logon K

Kitnay Naam Hotay Hain
Yeh Bhi Us Ki Qudrat K
Kesay Kaam Hotay Hain
Kiun Yeh Aisay Hota Hai
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay

Bewafa Zamanay Main

Piyar Dhoondnay Walo
Matti Ki Moorat Main
Bholo Bhaali Soorat Main
Piyar Kesay Milta Hai Yeh
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay
Yeh Tu Jaan Lo Pehlay.....!!
Jab Hum Khush Hain ,
Tab Bahut Pyaari Hai Zindagi;

Jab Hum Udas Rahen,

Tab Dukh Bhari Hai Zindagi;

Jab Dil Ko Koi Achchha Lage ,

Tab Rangeen Hai Zindagi;

Jab Mann Soch Mein Dooba Rahe,

Tab Bahut Gaheri Hai Zindagi;

Jab Kathinaiyan Samne Aaye,

Tab Mushkilon Se Ladna Hai Zindagi;

Jab Kisi Ke Samne Jhukna Pade ,

Tab Khaamosh Hai Zindagi;

Jab Bahut Kuch Sahna Pade ,

Tab Lachar Hai Zindagi;

Jab Duniya Sachchhi Lage ,

Tab Masoom Hai Zindagi;

Jab Jhoot Se Dhaki Sachchhayi Samne Aye ,

Tab Dardnak Hai Zindagi;

Jab Dil Toot Jaye ,

Tab Gamoon Se Ghiri Hai Zindagi

Jab Prem Mile ,

Tab Anurag Hai Zindagi;

Jab Kuch Samajh Na Aaye ,

Tab Ghor Andhera Hai Zindagi;

Jab Raasta Najar Aaye ,

Tab Nayi Subah Hai Zindagi;

Jab Sapne Bikhar Jaaye ,

Tab Aankon Ka Nam Hona Hai Zinagi;

Jab Sapne Sakar Hon ,

Tab Pagalpan Hai Zindagi;

Apno Ke Prati Pyaar Hai Zindagi,

Unke Liye Kuch Bhi Kar Kujarne Ki Chahat Hai Zindagi;

Aur Toh Aur

Gairon Ko Apna Bnaaye Ye Zindagi;

Sach Poochoo Toh Ae Dost,

Imtehan Ke Saanche Main
Khud Ko Dhalna Hai Jindagi......!!
Muhabbat Jhoot Lagti Hai

Ek Khokla Jazba

Jise Izhaar Ki Har Waqt Khuwahish HO

Kahe Jaane Ki Sunne Ki

Jise Har Pal Zarorat HO

“Mujhe Tumse Muhabbat Hai”

Na Jaane Roz Kitne Log Is Jumle Ko

Sunne Ko Bedaar HOte Hain

Yeh Aisa Jhoot Hai Jiska

Seher Sadiyon Se Tari Hai

Magar Jaana!!

Muhabbat Jab Kabhi Izhaar Ko Tarse

Koi Tum Se Agar Keh De

“Mujhe Tumse Muhabbat Hai”

To Uski Baat Mat Sunna

Muhabbat Rooh Se Phoote

Muhabbat Aks Ban Jai

To Tumko Phir Yaqeen Aye

Ke Maine Such Kaha Tumse

Muhabbat Rooh Ban Jai

TO Phir Iska Yaqeen Karna

Wagarna Ek Jumla Koi Kitni Baar Duhrai

Kahe Jai,Nahi Sunna

Muhabbat Jhoot Hai Jaana

Agar Izhaar Ki Isko Zarorat Hai..!!
Mujhy Kaisy Yaqeen Aey.!
Mohbbat Tum Ne Bhi Ki Hai.?

Tumhain Jab Bhi Dekha.!

Sada Khush Bash Hi Paya.!

Hmesha Hansty Rehty Ho.!

Kabhi Rotay Nahi Paya.!

Kabhi Gahmgeen Nahi Dekha.!

Hmesha Mast Rehty HO.!

Mohbbat Krny Waloon Pr.!

Kabhi Masti Nahi Chati.!

Kabhi Ronaq Nahi Ati.!

Na Wo Sarsabz Hoty Hain.!

Mohabbat Krny Walay Dil.!

Hmesha Zard Hoty Hain.!

To Phir Kesy Yaqeen Kr Lun.?

Mohabbat Tum Ne Bhi Ki Hy..?
Ek Khokla Jazba
Jise Izhaar Ki Har Waqt Khuwahish HO


Kahe Jaane Ki Sunne Ki
Jise Har Pal Zarorat HO


“Mujhe Tumse Muhabbat Hai”
Na Jaane Roz Kitne Log Is Jumle Ko


Sunne Ko Bedaar HOte Hain
Yeh Aisa Jhoot Hai Jiska


Seher Sadiyon Se Tari Hai
Magar Jaana!!


Muhabbat Jab Kabhi Izhaar Ko Tarse
Koi Tum Se Agar Keh De


“Mujhe Tumse Muhabbat Hai”
To Uski Baat Mat Sunna


Muhabbat Rooh Se Phoote
Muhabbat Aks Ban Jai


To Tumko Phir Yaqeen Aye
Ke Maine Such Kaha Tumse


Muhabbat Rooh Ban Jai
TO Phir Iska Yaqeen Karna


Wagarna Ek Jumla Koi Kitni Baar Duhrai
Kahe Jai,Nahi Sunna


Muhabbat Jhoot Hai Jaana
Agar Izhaar Ki Isko Zarorat Hai..!!
Lakh zabt e Khuawhish k
beyshumar da’way hon
usko bhool janay k
beypanah iraday hon

aur iss muhabbat ko tark kar k

jeenay ka faisla sunanay ko
kitnay lafz sochay hon
Dil ko Uski ahat par

barmalla dharaknay se

KAUN ROK SAKTA HAI?

Phir wafa k sehra main

Uske NARM lehjay

Aur


SOGAWAR ankhon ki

Khushbuon ko chhoonay ki
justaju main rehnay se
Rooh tak pighalnay se

nangay paoon chalnay se

KAUN ROK SAKTA HAI?

Ansuon ki barish main

chahay dil k hathon main
hijr k musafir k
paoon tak b chhu ao

jisko laut jana ho

usko door janay se
rasta badalnay se
door ja nikalnay se

KAUN ROK SAKTA HAI?

15 November 2011

KABHI FURSAT MAIN AYOO TU MERI IK NAZM SE MILO,

MAGAR ISS NAZAM KA DHAGA,

TUMHARI YAD KA LEHJA BADALTE HI NA JANE KYUN,
ULHAJ KAR TOOT JATA HAI,

TAB HI TU ISS KI SATREEN JA BA JA BIKHRI HOWI HAIN,

KOI TAKIYE KI SHIKNOON MAIN BOHAT TOOTI HOWI,
NEENDOON KI AANKHOON MAIN PARI HAI,

KOI DEHLEEZ PAR AHAT KI BAALI KAAN MAIN DALEY KHARI HAI,

KOI RUKHSAR PAR AANSOO KI SORAT JAMM GAYI HAI,

KOI DIL SE LABOON TAK AA TEY AA TEY THAM SI GAYI HAI,

KOI BOOK SHELF MAIN BECHAIN HATHOON SE UTHA KAR,
BIN PARHEY KITABOON MAIN PARRI HAI,

KOI EHSAS KI ANKHOON MAIN KANKAR KI TARHA AATKI HOWI HAI,

KOI USS ADH JALEY CIGERATE MAIN LIPTI REH GAYI HAI,

ZYAN KI DHOOL BAN KAR PAON SE LIPTI HAIN KUCH SATREEN,

KAHIN IS SATR KE ANDAR SHIKASTA MANN SE BHEGI HOWI PALKEEN PARI HAIN,

KAHIN IK SATR MAIN WO CHAND ATKA HAI,

MERE KAMREY KI KHIRKI SE JISEY TUM DEKH KAR SHEESHA SE ULJHA CHOOR GAYE THEY,

KOI AIK SATR USS CHAYE KI PYALI MAIN PARI HO GI,

PIYE JANEY KI KHAWAHISH MAIN JO TABLE PAR HI RAKHI REH GAYI HAI,

KAHIN IK SATR MAIN KHAWABOON KA WO RASTA BHI RAKHA HAI,

MAIN JIS PAR APNI AANKHEN BHOOL AYA HOON,

KAHIN AIK SATR KE ANDAR MERI WO SANS RAKHI HAI,

TUMHARI BE NISHAN MASROOFIYAT KE BHOJ SE JISS KO MAIN AB JI NAHI PAYA,

KOI AIK SATR SHAYD DAKIYE KI CYCLE KI CHAIN MAIN ULJHI HOWI HAI,

TUMHARA KHATT LIYE BIN ISS GALI KYON WO ATTA HAI???

ZARA SA GOUR SE SUN’ NA………….!!

RECEIVER MAIN TUMHARE PHONE KE SHAYD MERI AWAZ RAKHI HO,

ISAY AB PARCEL KAR DO MAIN ISS SE BHI KUCH BHEEGI HOWI SATREEN BANA LOON GA,

ABHI DIL KI HATHELI PAR BHI KUCH SATREEN PARI HAIN,

BOHAT NAZUK HAIN, LAFZOON SE CHHUWA TU TOOT JAYEN GI,

KOI INN MUNTAZIR AANKHOON MAIN RAKHI HAIN,

JINHAIN TUM APNA KEH KAR BHOOL JATEY HO,

YAHIN AIK SATR KI ANKHOON MAIN MERA KHAWAB RAKHA HAI,

TUMHARI BE RUKHI KE PAON SE KUCHLA PARA HAI,

MERE ISS KHAWAB KA TAWAN KYA DO GAY???

SUNO….!!

ISS NAZM KO UNWAN KYA DO GAY…....???
Suna hoga
Bohat tum ne,
Kahin ankhon
Ki rim jhim ka,
Kahin palkon ki
Shabnam ka,
Parha ho ga
Bohat tum ne
Kahin lehjey ki
Barish ka,
Kahin sagar k
Ansoo ka..
Magar tum ne
Kabhi Humdum..
Kahin dekhey?
Kahin parhey?
KISI TEH-REER K AANSO ?
Mujhey teri judai ne..
Yahi meraj
Bakhshi hai..
K main jo
Lafz likhta hon..
Woh sarey
LAFZ ROTEY HAIN.
K main jo
Harf bunta hon,
Woh sarey
BATAIN KARTE HAIN.
Mere sang
Is judai mein,
MERE
ALFAZ MARTEY HAIN….!!
Meri Zindgee Kay Charagh Ko
Yoon Hee Jaltaa Chore Do

Kia Pata Kab Kahan Tumhain Kuch Andhera Saa Dikhaee Day

Jo Raat Sakht Thee Guzer Gaee

Jo Din Kara Thaa Kat Gia

Ho Gaee Udaas Shaam Bhee

Woh Wasl Kaa Waqt Bhee Kat Gia

Woh Gulaab Dhoop Bhee Chut Gaee

Main Iss Umeed Pay Hoon Khara

Woh Mujhay Atta Dikhaee Day

Yoon Intzaar-e-Yaar Main

Khushboo kaa safr Bhee Khatam Howa

Kia Bahaar Mujh say rooth gaee

Jo Khizaan Atee Dikhaee Day

Meri Ik Arz Hay Khuda Say

Mujhay Mot Jab Bhee Naseeb Ho

Mira Sir Ho Kow-e-Yaar Per

Aur Woh Mujhay Muskarata Dikhaee Day

Mere Iss Gazal Kay Safr Main

Mera Yaar Mujh Say Bicher Gia

Mujhay Zindgee K ayn Darmyan Ik Khala saa Dikhaee Day
..!!
Nigahon ke tasadum se ajab takraar karta hai
yaqin kaamil nahi lekin gumaan hai payar kerta hai

Laraz jata hun mein ye soch k kafir na ho jaon

Zehan ye us ki pooja per bara israr kerta hai

usay maloom hai shayad mera dil hai nishaney per

Labon sai kuch nahi kehta nazar se war kerta

Mai us sai pochta ho khuwab mai Mujh sai muhabbat hai??

Phir ankhain khol deta hon k jab izhar kerta hai...!!
Agar ye Jan'na Chaho, koi kaise Bikhrta hai....?
Bikhr kar kaise jeta hai......?
Chaman main tum Chale jana...khizan ke sard Mosam mein

Wahan patton ko dekho tum


Yya phir 1 Aaine Le lo....., Usey Pathar Pe De maro

Agar Muskil ho ye bhi To...........!!

Aik phool Le Lena....., Hawa ke Dosh pe Rakhna

To Phir Tum Jaan jaoo Ge..... KOI KAISE BIKHarTA HAi

Agar ye Bhi na Ho Tum se.......!!


To mere Pass aa Jana.......... MERA DeDaaR KaR LENA

khabar ye ho hi jaye gi
KOI KAISE BIKHRTA HAI...!!
KAHIN ISHQ KI DEKHI IBTDA,
KAHIN ISHQ KI DEKHI INTHA,
KAHIN ISHQ SOOLI PE CHARH GYA,
KAHIN ISHQ NA NEZEY PE SIR GYA,
KAHIN ISHQ SAJDEY MAIN GIR GYA,
KAHIN ISHQ SAJDEY SE PHIR GYA,
KAHIN ISHQ DARS E WAFA BANA,
KAHIN ISHQ HUSN E ADDA BANA,
KAHIN ISHQ NE SANP SE DASWA DIYA,
KAHIN ISHQ NE NIMAZ KO QAZA KIYA,
KAHIN ISHQ SAIF E KHUDA BANA,
KAHIN IHSQ SHER E KHUDA BANA,
KAHIN ISHQ TOOR PE DEEDAR HAI,
KAHIN ISHQ ZIBAH KO TYAR HAI,
KAHIN ISHQ NE BEHKA DIYA,
KAHIN ISHQ NE SHAH E MISR BANA DIYA,
KAHIN ISHQ ANKHOON KA NOOR HAI,
KAHIN ISHQ KOH E TOOR HAI,
KAHIN ISHQ TU HI TU HAI,
KAHIN ISHQ ALLAH HOO HI ALLAH HOO HAI……!!
Agar sahil kahoon, kashti kahoon ya nakhuda tum ko,
Agar taqdeer ya inam ya qismat kahoon tum ko,
Agar gunchaa kahoon, lala kahoon, nargis kahoon tum ko,
Kahoon main jaan, ya janan, ya jan e jaan kahoon tum ko,
Agar jharna kahoon, sagar kahoon, darya kahoon tum ko,
Agar sesha kahoon, mooti kahoon, resham kahoon tum ko,
Ye sarey naam teri zaat ke, pehloo sahi lekin,
Magar jachta nahin koi, ye sarey naam faani hain,
Tumhara naam aisa ho jo tum ko jawadaan kar de,
Tumhain pora byan kar dey,
Suno aa meharbaan larki……….!!
Tumhara naam rakha hai,
Mohabbat……………naam…………..kai
sa hai…..??
Mohabbat jo kabhi marti nahin…………!!!
Jab Main Gher sey nikal raha tha,
chalte chalte ,
mere seeney sey hat'tey pal,
Dheerey sey ik sarghoshi main,
Usney Kaha Tha....!!
Dekhain,
Cahahey kuch bhi hojaye,
Rooz mujhe RING kijiyega,
Phir jb uskey Haath or nazrain meri TiE per then,
Kehney Lagi....!!
Aap nahi hotey hain to bilkul Akeeli ho jati hon,
Chorr nahi saktey Yeh BUSINESS….!!
Aap mujhe Q tarrpatey hain,
Acha dekhain youn kertay hain,
Aik din khat aur aik din Phone....!!
Mainey Osko Boosa de ker,
Usey Kaha Tha,
Ab Key Chahey Kuch hojaye……!!
Khat likhounga Phone karounga,
Haaye! Lekin Khud sar'fitrat,
aur kuch aur karobaar ke jhanjhat,
Na to usko phone kya tha,
aur Na hi koi Messege naa hi Card,
Ab jo gher ko laut raha Hon,
sooch raha hon,
tanhayi k Yeh do Haftey,
Uss per Sadiyon jese Hongey,

Lekin yeh bhi janta hey dil,

usko Be'hadd shikwey honge ,
tarrpi hogi,
Chupp ker takiye main raaton ko rooyi hogi ,
Khafa khafa si,
Lekin....!!
Gher main dakhil ho kar,
main uskey maathay per ik Boosa Dounga,
un Hoonto per Hoont rakhounga,
Aur kahonga....!!
Yar mujhey Tum Yaad Aayi Thi….!!
Lamhey lamhe main so baar,
Bus itna hi kehna Hoga,
Aur woh pagli apna sab kuch sonp kar Mujhko,
Mere seene se lag jayegi ,
phir jab uska haath or nazrain Dono mere seene k baalon per hongey,
(woh seena jo un Ashkon se bheega Hoga)
sargoshshi main mujhse kahegi ,
Aap bhaley ab kuch bhi karlain hargiz ab na janey Dongi,
Sachi app to bohat bure hain,
Bohat bure Hain....... Bohat bure Hain..!!
"MUJHE TUM SE MOHABBAT HAI"
Jitni Soraj ko
HiDat se
Jazbe ko
ShiDaT Se
Sagar ko
Rawani se
Abar ko
Pani Se
Rat ko
Andhere Se
Subha ko
Sawaire se
Tufan ko
Zour se
Machli ko
Samandar se
Saqi ko
Jam Se
Shaair ko
KaLam se
Moti ko
Seep Se
Parwane ko
Deep se
"MUJHE TUMHARI TALAB HAI YUN"
Jaise kali ko
Khilne ki
Bichhre ko
Milne ki
Paon ko
Payal ki
Zakham ko
Ghail ki
Hijar ko
Wisal ki
Zawal ko
Kamal ki
Sitaron ko
Chand ki
Paton ko
Shajar ki
Aawara ko
Ghar ki
wehshi Ko
Junun Ki
Bimar Ko
Shifa Ki
Wali Ko
KHUDA Ki
Teer Ko
Kaman Ki
Pathar Ko
Zuban Ki
Ajnabi Ko
Pehchan Ki
Jism Ko
Jan Ki
Har Ko
Jeet Ki
"BUS MUJHE TUM SE MOHABBAT HAI ITNI"
Wo jazbey cheen lo mujh se,
Jo mere ang, meri rooh, mere dil main bastey hain,
Jinhain khud main samoney ke liye seney tarstey hain,
Wo lamhey cheen lo mujh se,
Jo mere zehn ki tarekiyoon main shameen roshan hain,
Meri khalwat ki khushboo hain, meri yadoon ke gulshan hain,
Wo chehrey cheen lo mujh se,
Jo khaal o khild nahin, ab ainey hain meri seerat ke,
Jo har pehloo se aks e zoofishan hain meri soorat ke,
Wo rishtey cheen lo mujh se,
Jo mere zehn o dil main roshni ke beej botey hain,
Jo rag rag main lahoo main lahoo ki chaap se mansoob hotey hain,
Wo aankheen cheen lo mujh se,
Jo meri rooh na nohaa hain, meri zaat ka lehja,
Jahan dhalta hai ainoon main ehsasaat ka lehja,
Wo sapney cheen lo mujh se,
Jo inn weran ankhoon main, abhi tak jagmagatey hain,
Abhi tak sans letey hain, abhi tak muskratey hain,
Wo sab kuch cheen lo mujh se,
Magar aa zalmo, mujh se mera “EHSAS” matt chenoo,
Talab ki aas matt chenoo,
Jo mere zabt ki pehchan hai, wo pyas matt chenoo,
Mera “EHSAS” matt chenoo…!!
US NE POOCHA !!!
HAATH KI REKHA'ON PER HAI WISHWAS TUMHARA
MAIN NE KAHA !!!
BAS THORA THORA
WO BOLA !!!
DIKHLANA TO TEHRER HAI KYA HAATHON PER TUMHARE
MAIN NE KAHA!CHORO JANE DO
KYA RAKHA HAI IN BAATON MAIN
US NE JAB ISRAR KIYA TO
MAIN NE MUTTHI KHOL DIKHAI
US NE HAATHON KO THAMA,DEKHA AUR YE BOLA!
CROSS BOHT HAIN ZYADA IS PER
WAISE KISMAT BURI NAHI HAI
HAATH CHURA KER MAIN YE BOLI !!!
SUCH KEHTE HO,YON HI HO GA
TAB WO AAHISTA SE BOLA !!!
SUCH POOCHO TO,MAIN NE YE SAB JHOOT KAHA HAI
KISMAT K IS ILAM SE MAIN B NA WAQIF HON
MAIN NE TO BAS
HAATH TUMHARA CHONA CHAHA..!!
Murgha Mera Murghiyun Mai Bara Mashoor Hua Hai
Jese Filmon Mai Aamir Khan Ka Daur Hua Hai

Har Roz Ek Naii Murghi Ke Sath Gali Mai Tehelna

Es Baat Ka Murghon Mai Bara Shor Hua Hai

Ek Baar Pakra Gaya Bewah Murghi Ke Sang Sar-E-Aam

Randwey Murghon Mai Es Baat Pe Ghor Hua Hai

Kambakht Deta Nahi Hai Ab Kabhi Sehr Ki Azaan

Aiyashiyun Mai Doob Kar Aesa Kaam Chor Hua Hai

Molvi Sahib Ki Murghi Jab Se Kar Gai Inteqaal

Tab Se Bechara Laachaar Aur Kamzor Hua Hai

Parosan Ne Mara Taana, Mera Murgha Bhi Mere Jesa

Sun Kar Yeh Baat "DOST" Sharminda Zaroor Hua Hai...!!
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete,
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete,
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna,
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete..!!
~ TERI QABAR PE PHOOL YE AYEE HAIN KIS TARHA AAKHIR ~
~ SACH SACH BATA KE KOI KYA HUM SE QABL YAHAN AYA THA ~
Sahil ki geeli rait per
Main ne uss say pocha

Tera mashgala kya hai?

Uss nay palkain jukha ker

Muskura ker

Mera nam likha aur mita diya..!!
~ KUCH AISE HAADSAY BHI ZINDAGI MAIN HOTE HAIN "Dost" ~
~ KE INSAAN BACH TO JAATA HAI MAGAR ZINDA NAHI REHTA ~
Suno Logo…...!!
Meri Aankhain khareedo gy..??
Buht Majboor halat mein mujhy Nilam karni hain,
Koi mujh sy Naqad ly ly,

Mein thory Daam ly longa,

Jo pehly boli daidy, Bs usi ky naam kar donga,
Mujhy bazaar waly keh rahy hain, AA Kam Aqal Tajir,
Ary sunsan logo mei nahin hoon HIRS ka Khawa’han,

Nafa nuqsan ki shatranj nahin mein khailny aya,

Koi mujh ko kahy na Manchala sa bayhunar Tajir,
Bata Paon tumhy kis tarha, kis tashweesh main rakhon,

Suno Logo……….!!

Meri Mehboob’Tar hain mujhko meri neem’tar aankhain,
Magar ab baichta hoon kyon ke..!
Mujhy Ik khuwab ka Tawaan bharna hai………!!