1 November 2011

PAT JHAR KI DEHLEEZ PAY BIKHRAY,
BAY CHEHRA PATTON KI SURAT,

HUM KO SAATH LIAY PHIRTI HAI,
TERAY DHAYAAN KI TAIZ HAWA..!!
ZAKHMON KA KON SHUMAAR KARAY,

YAADON KA KESAY HISAAR KARAY,

AUR JEENA PHIR SAY AZAAB KARAY,

US WAQT KO KON HISAAB KARAY,

WO WAQT---JO TUJH BIN BEET GAYA....!!
MAIN NE KAB YE SOCHA THA
 ZINDGI KE, SANOSOO'N SE
FASLEY BAREY HOON GE
TUJH SE MILNA CHAHOON TU
AAJ MERI RAHOON MAIN
RASTEY KHAREY HOON GE
MAIN NE KAB YE SOCHA THA
TERE SAYE SE BAHIR
DHOOP MAIN JALAN HO GI
REET MAIN CHUBAN HO GI
DARD BHI KAREY HOON GE
MAIN NE KAB YE SOCHA THA
MERE CHAHNEY WALEY
DORR BASS RAHE HOON GE
AUR MAIN FAQT APNEY HATH KI LAKEROON KO
BE QARAR ANKHOON SE YOUN HI TAKK RAHA HOON GA
MERE CHAHNEY WALEY
MUJH PAR HANS RAHE HOON GE
MAIN NE KAB YE SOCHA THA
ZINDAGI KE DHOKEY MAIN UMAR JAB BITAA DOON GA
KHUD KO JAB MITA DOON GA
HIHJR YE SADDA DE GA
BE BASI KI SANSOON MAIN
ZINDAGI NAHI REHTI
WAQT KE SAMANDAR SE
LAKH KHAWAHISH CHUNN LO
BE BASI KI MUTHI MAIN
REET BHI NAHI REHTI
AAJ MAIN NE SOCHA HAI
AAJ MAIN NE JANA HAI
TANHAI main ajeeb zamane ki wafa dekhta raha,
UMER bhar apna ghar tanha dekhta raha,

KAHIN na kahin to badal he jatey hen silsiley,
magar main jahan gya sehra dekhta raha,

JANE kiyun qatrate hen log muje milne se,
kal shub dair talak Aaina dekhta raha,

PANI mangte mangte mere hont pathar ho gaye,
wo shakhs mashkiza liye khara dekhta raha,

BE-GUNAH tha phir b sar jhukay howy,
sitamgar k sitam ki INTEHA dekhta raha,

UMAR bhar mohabbat ka kuch yun silsila raha,
main usey or wo DUNIYA dekhta raha,

KAHOON ga KHUDA se yom-hisab ko"MOHSIN",

k muashra meri barbadi ka tamasha dekhta raha ....!!
wo khaloos tha k khumar tha,
wo janoon tha k saraab tha,
mujhe sochne mein zamana laga ,
mujhe munzilon ne bhoola diya ,
mujhe jis maseeha pe maan tha ,
mujhe us ne sooli charha diya ,
kai humsafar kai rah-guzr ,
mujhe raste mein mile magar ,
meri tushnagi kuch or hai ,
meri justajoo koi or hai ,
wo jo roshni ki tarha barhey ,
magar ansuon mein sama sakey ,
jo subha ki pehli kiran bane ,
mere dil ka aangan nikhaar de ,
jo muhabbaton ki ravaytein ,
laho ki bali se sanwaar de ,
mujhe us wafa ki talaash hai ,
mujhey us wafa ki talaash hai ,
magar is jahaan-e-kharab mein ,
yahaan khwahishon k saraab mein ,
mujhe kon de aisi wafa ,
mein kahaan se laoon wo wafa ,
inhi uljhanon mein ghira hua ,
Yehi sochta mein chala gya.....!!
Hum bhi kuch aisa kamaal karna chahte hain
Hum chand ko qareeb se dekhna chahte hain

Ab ye jaan jaye ya rahe safar-e-mohabbat mein
Hum to bas apna wada nibhana chahte hain

Suna hai ke maut badi haseen ho jayegi isliye
Hum unki baahon mein marna chahtey hain

Meri deewangi to dekho ke ek pathar se
Hum apna haal-e-dil sunana chahte hain
Koi to ho jo rooke iss waqt-e-tufaan ko
Hum ek aashiyaan banana chahte hain

Ae DIL-e-Nadan zara tham ke dharakna seekho
Hum us shakhs ko bhulana chahte hain ..........!!
"Sheher-E-Khamosha'n"


Hawaei'n.!! Meri Terha Mayoos Lagti Ho.!!

Bohot Khamosh Aur Chup Chap Ho Kab Se

Tumhe Bhi Mil Nahi Payie'n Na Khushbu Bantne Wale.?

Tumhare Haath Bhi Meri Terha Se Aaj Khali Hai.!!

Sawali Hai.??

Hawa Meri Terha Tooti Si Lagti Ho.!!

Tumhare Haath Bhi Meri Terha Se Dard Aya Hai.!!

Gulaabi Mousamo'n K Naam Per, Hisse Mein Barg-E-zard Aya Hai.!!

Tumhein Bhi Raigaa'n Sari Musafat Yaad Aati Hain.!!

Satati Hain.!!

Hawa Meri terha Tum Bhi Larza'n Ho.?

Bohot Hi Sard Lagti Ho.!!

Tumhe Bhi Baraf Lehjo'n Ne Chatakhti Dard Deti

Sard Aaho'n Mein Badal Dala.!!

Tumhe Bhi Zindagi Ke Wo Khuda Jaise Rawaiye Yaad Aate Hain.?

Rulaate Hain.???

Hawa Piyari.!!Zara Sa Farq Baqi Reh Gaya Hum Mein.!!!

Issi Ek Farq Ne Tum Ko Kaha Sansei'n.!!

Mujhe Madfon Likha Hai.!!

Yehi Ek Farq Hai Hum Mein.!!

Tumhe Khushbu Kisi Din Khud Pukare Gi.!!

Ra'aunat Se Bharey Lehje.!!

Sulagta Habs Mousam Seh Na Payei'n Ge.!!

Dua Ka Roop Le Ker.!!

Sirf Tum Se Qurb Chahein Ge.!!

Mager Ik Farq Hai.!!

Sheher-E-Khamosha'n Azan-E-Goyai Ko Tarse Ga..!!
WO YAD BHI AB KE AYA HAI, AUR JAAG UTHI HAI KHAWAHISH BHI
TAAZA DARD, SARD HAWA, AUR JUDAI KI PEHLI BARISH BHI...!!
YE BHI AIK KHAWAB KA JAGA HOWA MANZAR HI NA HO
TERE HATHOON MAIN MERA HATH, KAHAN MUMKIN HAI.....?
Aik wahem tha dil main,
Shayad kabhi milo tum,
kuch dair ruk ker poocho,
beetay dinoon ka moosam,
aawaz main ho larzish,
aankhoon main ho tajassus,
Mazay ka koi lamha,
shayad atak gaya ho,
sab bhool ker bhi shayad,
kuch yaad agaya ho,
phir main tumhain bataoon,
apni khushi ki baatain,
har dukh ko chupa ker dil main,
aasoodgi ki baatain,
wo chand chudhween ka,
taroon bhari wo aankhain,
dilkash haseen shamain,
maasoom wardatain,
wo piyaar ka tasawwor,
wo bandagi ki batain,
Wo rooz rooz marna,
Aur zindagi ki baatain,
Tum dukh say muskurao,
Dheeray say muskurao,
Dheeray say paas aao,
Sar ko jhuka kay apnay,
Chup chaap loot jao,
Phir main bhi muskuraon,
Maan kay diyay jalaon,
Duhraon apnay dil main,
Taa'luq say haqeeqat,
Aik khuwab zindagi ka,
Haan umer bhar jo daikha,
Kabhi ho saka na pora,
Younhi rah gaya adhoora,
Aik khuwab-e-zindagi tha.....!!
Mere Mehboob,
Meri Simt na dekh,
Meri ankhoon ko bhi nam rehnay de,
Tark - e- Khuwahish ka bharam rehnay de,
Phir pighal jaye na seenay main yeh dil,
Kitni muddat main bhulaya hai machalna is ko,
Kitni Mushkil se sikhaya hai jeenay ke liye,
Yoon Mohabbat se dharakne ka hunr,
Raigaani ke siwa kuch bhi na,
Aik Tamasha hain woh sare manzar,
Jin ke cherhay pe hoon taqdeer ke naraz naqoosh,

Ab tou tu khud se mukarne de mujhay,
Mere Mehboob nahi ....aur nahi,
Jism ko raakh na ker, rooh ko shola na bana,
Yun meri Simt na dekh...!!
suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam,
muhabat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai,

suna hai wahan diloon ka milan hota hai,
rohoon ka visal aur hijar ka inkar hota hai,

wahan zulf bikhray tu raat ka aalam,
jo simtay tu savera hota hai,

suna hai ashk jab koi bahaiy tu,
wahan sawan ka mousam hota hai,

taara jab bhi tootay kaheen asmaan may,
nazuk hatoon may kushkool-e-dua hota hai,

suna hai wahan kalaam karti hain muabtain,
nafratoon ka qatal-e-aam hota hai,

suna hai wo bhi makeen hai teri basti ka,
jo sadiyun se rooh-e-jaan hamari hota hai,

usko salam-e-muhabat kehna
jiski ankh may ashk meray naam ka hota hai

wo bhi sahiyad mehsoos karta ho,
dard jo firaaq may yahan hota hai,

uski muskaan ka bhi aalm kuch biyaan ho,
kia ab bhi usay dekh kar chandni ka guman hota hai,

suna hai ab bhi wo nazar jhuka kar milta hai,
kaheen ankh may uski piyar ka rang hota hai,

chalo us basti ki janib chaltey hain Qais,
jahan rang-e-qos-qazah, aur raqs ishq may hota hai....!!
jab Main Gher sey nikal raha tha,
chalte chalte ,
mere seeney sey hat'tey pal,
Dheerey sey ik sarghoshi main,
Usney Kaha Tha....!!
Dekhain,
Cahahey kuch bhi hojaye,
Rooz mujhe RING kijiyega,
Phir jb uskey Haath or nazrain meri TiE per then,
Kehney Lagi....!!
Aap nahi hotey hain to bilkul Akeeli ho jati hon,
Chorr nahi saktey Yeh BUSINESS….!!
Aap mujhe Q tarrpatey hain,
Acha dekhain youn kertay hain,
Aik din khat aur aik din Phone....!!
Mainey Osko Boosa de ker,
Usey Kaha Tha,
Ab Key Chahey Kuch hojaye……!!
Khat likhounga Phone karounga,
Haaye! Lekin Khud sar'fitrat,
aur kuch aur karobaar ke jhanjhat,
Na to usko phone kya tha,
aur Na hi koi Messege naa hi Card,
Ab jo gher ko laut raha Hon,
sooch raha hon,
tanhayi k Yeh do Haftey,
Uss per Sadiyon jese Hongey,

Lekin yeh bhi janta hey dil,
usko Be'hadd shikwey honge ,
tarrpi hogi,
Chupp ker takiye main raaton ko rooyi hogi ,
Khafa khafa si,
Lekin....!!
Gher main dakhil ho kar,
main uskey maathay per ik Boosa Dounga,
un Hoonto per Hoont rakhounga,
Aur kahonga....!!
Yar mujhey Tum Yaad Aayi Thi….!!
Lamhey lamhe main so baar,
Bus itna hi kehna Hoga,
Aur woh pagli apna sab kuch sonp kar Mujhko,
Mere seene se lag jayegi ,
phir jab uska haath or nazrain Dono mere seene k baalon per hongey,
(woh seena jo un Ashkon se bheega Hoga)
sargoshshi main mujhse kahegi ,
Aap bhaley ab kuch bhi karlain hargiz ab na janey Dongi,
Sachi app to bohat bure hain,
Bohat bure Hain....... Bohat bure Hain..!!
Mein laRka aam sa,
aik Qissa na-tammaam sa,
na lehja be-misaal hai,
na baat mai kamaaL hai,

hOOn dekhne mai aam sa,
Udaasiyoun ki shaam sa,
jaise ik Raaz hoon,
khud se be-niyaaz hoon,

na shohraton ka Zabt hai,
Raanjha na Qais hoon,
insha na Faiz hooN,
mein paiker-e-ikhLaas hoon,

waFa dua auR aas hoon,
mein shakhs khud shanaas hoon,
tum hee kaRo FaisLa,
mein LaRka hOOn aam sa,

YA PHIR BUHUT HEE KHAAS HOON...?
Main Ye Maanta Hoon Mere Diye,
Tere Aandhiyon Ne Bujha Diye,

Magar Ek Jugnoo Hawaaon Me,
Abhi Roshni Ka Imaam Hai,

Mere Fikr-O-Fun Teri Anjuman,
Na Urooj Tha Na Zawaal Hai,

Mere Lab Pe Tera Hi Naam Tha ,

Mere Lab Pe Tera Hi Naam Hai ...!!
zaruri nahin k zindagi ka koi sahara ho,

hum chahen jisy wo hamara ho,

doob jay karti hain kashtiyan aksar,

zaruri nahi k har kashti ka naseeb kinara ho......!!
Hain Dafan Mujh Mein Meri Kitni Ronaqen MAt Pooch.
Ujhar Ujhar Kay Jo Basta Raha Wo Shehar Hun Mein...!!
Lipat kar apni tanhai se jagta rehta hun main,
tamaam rat teri yad mujhy sony nahi deti,

teri koi masoom si shararat jab bhi ati hai yaad
,
udaas to kar jati magar roony nahi deti,

log kehty hain bhool kr usy nai zindgi shuru kr
,
wo rooh par qabiz hai mujhy kisi aur ka hony nahi deti.....!!
WO shakhs
ab pehle se bhi ziyada awargi mein rehta hai..!!
Hum ne tO suna tha 
ke lOg sudhar jaty hain bichar jane k baad...!!
KHUSHBAKHTI SAMHAJ LO,

YA,

SIYABAKHTI KEH LO,

MUJHEY SARE ZAMANEY MAIN,

MOHABBAT HAI TU BASS,

TUM SE.........!!
YE MUMKIN NAHI YE MUMKIN NAHI,
HAWA KO MUTHI MEIN BHARNE KI KOSHISH,
DARIYA KO KOOZE MEIN BAND KARNE KI KOSHISH,
WUSSAAT E AASMAN KO NAZRON MEIN BAND KARNE KI KOSHISH,
JISS TARAH NA MUMKIN HAY ISSI TARHA,
TUM KO,
DIL SAY BHULANE KI KOSHISH BE KAAR HAY,
YE MUMKIN NAHI YE MUMKIN NAHI..!!
JAB DHANAK K RANGON KI BAAT CHALE,
JAB CHAND SITARON KI BAAT CHALE,
JAB NADIYA K BEHTE DHARON KI BAAT CHALE,

HAM TUJH KO SOCHA KARTE HEIN,
BASS TUJH KO DEIKHA KARTE HEIN,

JAB DIN MEIN RATON KI BAAT CHALE,
JAB BIN BADAL BARSATON KI BAAT CHALE,
JAB SAAHIL AUR LEHRON KI BAAT CHALE,
TERI YADON KI DHUN MEIN BEHTE HEIN,
HAM TUJH KO SOCHA KARTE HEIN,

JAB GULON AUR KHUHBOOYON KI BAAT CHALE,
JAB KHIZAN MEIN BHARI BAHARON KI BAAT CHALE,
JAB BAL KHATI THUNDI HAWAYON KI BAAT CHALE,

HAM TO TUJH KO YAAD KARTE HEIN,
HAM TUJH KO SOCHA KARTE HEIN .....!!
AANKH K AANSOO JAISI HAY,
PAKEEZA SAAF SHAFAF,
NIKAL KAR CHASHM E TAR SAY,
AALOODA HOTE HUYE,
PANI JAISI HAY,
BAY IRADA YAAD KI SURAT,
HAY MOHABBAT KIA KAHIYE KE,
LABON SAY NIKLI FARIYAD KI SOORAT......!!
MOHABBAT,
IK AISA SAFAR HAY,
JISS MEIN,
AKSAR,
MANZIL KE NISHAN KHO JATE HEIN,
MAGAR MUSAFAT,
KABHI KHATAM NAHI HOTI....!!
ISS ISHQ E LA HAASIL MEIN SUNIYE,
AKSAR WAJDAN O IRFAN PA KAR BHI,
APNI ZAAT KI BATEIN,
BE MANI HOTI HEIN,
JAB DIL MEIN SAWERE HO ROSHAN,
DIL K MAHRAM KI YADON SAY,
WAHAN HIJR E BAD ZAAT KI BATEIN,
BE MANI HOTI HEIN,
JAHAN DIL K BANJAR SEHRA KO,
ASHKON KA PANI RAAS AATA HO,
WAHAN BIN BADAL BARSAT KI BATEIN,
BE MANI HOTI HEIN,
JAZBON KI BASAT PAR JAHAN ISS KHEIL MEIN,
DIL DAYO PAR LAGTE HEIN,
WAHA """ASIF JI ""JEET AUR MAAT KI BATEIN,
BE MANI HOTI HEIN.....!!
Mukhtasir Ye K Achay Lagtay Ho
Chahnay Ka Sabab Nahin Kuch Bhi......!!
Tujhy rooz dekhon kareeb se,
mere shook bhi hain ajeeb se,

mujhy mangna hai tujhi ko bus,
apne rab or us k habeeb se,

meri ankh mein bhi hai ajzii,
mere khawab bhi hain gareeb se,

mere sub dukhoon ki dawa ho tum,
miley kiya sakooon phir tabeeb se.....!!
KitNe AnJaaN hAiN sAr E ShaM sOo Jatey Hain,
Meri Ankhoo SeH Meri NeenD Churane Waley.....!!
Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise,
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise,

Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna,
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise,

Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi,
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise,

Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil,
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise....!!
Tere aane ka silsila nikla,
Thoda socha to ye pata nikla,
Ranj ka sara khel hai chahat,
Sab ka ek ye hi fesla nikla,
Door duniya se ghar basa leta,
Par mera ghar tera dayera nikla,
Mere bare mai sochta hai wo,
Kaise wo bawafa nikla,
Kaisi ye aag hai bata de mujhe,
Jisko dekha wo diljala nikla,
Baat bebaat ka fasana tha,
Kitna muddat mai fesla nikla,
Jiske ghar mera aana jana tha,
Wo shaksh mujhe mar mita nikla,
Aaj to had hi ho gayi “DOST”
Bewafa sara kafila nikla.....!!
Ehsaas tO uS kO bhut hAi meRi chahaT kA MOHSIN
TerpaaTa hAi iS Liye kAy mian Or bHi toot kAr chaahOn uS kO...!!