2 November 2011

Doob ja ishq e khuda main sab kuch bhool kar aey insaan
Kis nay paayi hay ye duniya ki mOhabbat jo tu paaye ga…!!
Poochte ho to suno kaun hoon main,
chand simte hue ashaar hoon main,

Sirf tareef se yahan kuch nahi hota,
aapki duaon ka talabgaar hoon main,

Bayaan-e-dil pesh karta hoon jabh,
log kehte hai dil-e-beemar hoon main,

Bolun agar khara to hoon shamsheer,
aur agar likh daalon to talvaar hoon main,
Tareef karne par agar utar aaon kabhi,
to gulfaam hoon mai, gulzaar hoon main,

Jazbaat ko savaarna jaanta hoon bahut khoob,
shayeri ka sar-taj hoon, shahkaar hoon main,

Lafzon se yun khelna sabko nahi aata,
mujhe aata hai, samajhdaar hoon main,

Hain aur bhi sukhanwar is hunar ke dost,
math bolo ke 'Tanha' gunhagaar hoon main........!!
Wo Kya Jane Main Khuda Se Kya Maangta Hoon?
Uski Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon,

Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Us se khata,
To De Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon,

Agar Lag Jaaye Koi Gham Us ko Ya Ho Jaye Wo Pareshaan,
To Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon,

AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna,
Din Raat Uskay Saaray Gham Maangta Hoon,

Wo Ho Hamesha Kaamyaab Uski Her Khwahish Ho Poori,
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Uski Khushi Maangta Hoon,

Main Jaanta Hoon K Wo Meri Nahin Hai Lekin,
Main Hamesha KHUDA Se Uska Saath Maangta Hoon...!!
Ek bar suno,
kuch aisa hua,
Wo mujhko mili,
Me us ko mila... Izhar hua,
Iqrar hua,
Wo chahne lagi,
Main chahne laga,
usey PYAR bht,
Mujhe PYAR bht,
PHIR kuch yun hua,
Wo chor gayi,
Main toot gaya,
PHIR kuch yun mile,
Wo tanha thi,
Main akela tha,
Bas hum do the,
Or koi na tha,
Wo rone lagi,
Main bebas raha,
Na PYAR na hi Izhar raha,
Bas Farq sirf itna sa raha,
Wo MITTI k upar roti rahi,
Main MITTI k ander sota raha... !!
Mujhe lakh hoo Bhroossa mere dil ka kyaa Thakanna,
Kabhi Be-Niqaab ho ker mere Samne na anna,

Sar-e-Bazm tum khuda-raa mojhe yuun na azmanna,
Meri simt eis adda say kabhi abb naa Muskuranna,

Gam-e-Zindagi se mumkin naa huwa Nabaa-h mara,
Yeh karam hia tere gam ka mojhe ajnabi na janaa,

Tere raaz ka Taha-faz mere bass mian aab nahi hia,
Keh Nikhar kay hoo gai hia mri her Nazer faana,

Yeh hanssi hanssi nahi hia, yeh Faryaib hia hanssi ka,
Na is say samjh saky tum, na samjh saka zamanaa,

Koi taza hadasaa phir meri rah tak raha hia,
Meri simt uth rahi hia , woo Nigah-e-Dil-Baranna,

Tere zakham ki yaad gaariya.n mre shair meri gazle.n,
Teri eik nazer ka haasil mera zooq-e-shaayranaa ....!!
Mujhe koi aisa raasta bata,
Ke jis per chal kar,
Mein tujhe bhool sakoon,
Ya phir,
Mujhe koi aisi raah dikhlaa,
Jis per chaltay huwe,
Mein tere saath guzre huwe,
Lamhoon ki rafaaqat,
Ek khwaab samajh kar,
Bhula sakoon,
Ya phir,
Mujhe koi aisi simt bataa,
Jahaan jatay huwe,
Mein tujhe na sochoon,
Na hi tujhe yaad karoon,
Aur
Agar aisa koi raasta,
Aisi koi raah,
Aisi koi simt,
Nahe hai tere paas,
Tu phir,
Mujhe mere haal pe chor day......!!
Deepak Jugunu Chand Sitare Ek se Hai,
Yani Saare Ishq ke Maare Ek se Hain,

Hijr ki Shab me Dekh to aake Mere Chand,
Mere Aansu aur ye Taare Ek se Hain,

Darya Hoon Mai Bher Bhav ko kya janu,
Mere Liye to Dono Kinare Ek se Hain,

Meri Kashti kis ne Duboyi kya Maloom,
Sari Lehrien saare Dhaare Ek se Hain,

Kuch apne aur kuch Be-Gaane aur Mai khud,
Meri Jaan k Dushman saare Ek se Hain,

Ab Batlao Hum kis se Fariyad Karien,
Kaatil, Haakim, Munsif saare Ek se Hain....!!
Main Tum Ko Chahta Hoon,
Junoon Ki Dehshat Main,
Jaan Se Ghuzar Jane Ki Had Tak,
Main Tum Ko Janta Hoon,
Rooh K Bay Unt Saagar Main,
Utar Jane Ki Had Tak,
Main Tum Ko Poojta Hoon,
Mohabbat Ki Haseen Devii Se,
Sir Takra K Mar Jane Ki Had Tak,
Main Tum Ko Souchta Hoon,
Kabhi Duniya Kabhi Khud Se,
Magar Jane Ki Had Tak,
Main Tum Ko Dekhta Hoon,
Faseel Dard Par Rakhay,
Mehaktey Khuab Ki Khushboo,
Bikhar Jane Ki Had Tak,
Yakin Janoo K Main Ye Jurm,
Ek Pal Main Hazaroon Baar Karta Hoon,
Tumhain Maloom Hota Kaash,
Main Tum Se Kitna Pyaar Karta Hoon.....!!
"TUM OR MAIN"

'Barish,badal,
Tum or Main,
Khushbu, mosam,
Tum or Main,

Kaley badal, rimjhim barish,
Neela anchal,
Tum or Main,

Behti nadiyan, girta pani,
Ankhein, ansu,
Tum or Main,

Pas kisi dariya k koi,
Bheega jhonpar,
Tum or Main,

Door kahin koyal ki ku ku,
Gehra jangal,
Tum or Main,

Barkha rimjhim geet sunayn,
Jhurmat dalein,
Tum or Main,

Door kahin per chota sa ik,
Kach'cha sa ghar,
Tum or Main,

Kandha tera or sar mera,
Pagal c chup,
TUM OR MAIN'....!!
Ek din kaante ne phool se poocha kI “aye phool!”
mujhe tumhari mohabbat se kya haasil hua?
mujhe dekhte hi har koi apne teevar badal leta hai shayad,
iss liye k main unhein zakhmi kar deta hoon,
or Duniya tum par marti hai,
tumhari khushboo lene ko tarasti hai,
lekin mujhe tumhari mohabbat se kya milla?
Phool yeh sada sun kar muskuraya or kehne laga,
tumhein to khush hona chahiye jiss par duniya marti hai,
woh tumharay baghair ek pal nahin reh sakta,
jab mujhe koi tum se juda karta hai,
to mein mar jata hoon!!
kyon ke main,
Sirf tum se mohabbat karta hoon!!!
Suno..!!
Tum yaad mat karna,
agar hum mar bhi jain tu,
dill-e nashaad ko phir sey,
na tum bar baad ab karna,
humain tum yaad mat karna,
k ye yaadain tu jism-o roh ka,
nasoor hoti hain,
humarey wastey jevan ko yoon,
be-noor mat karna,
humain tum yaad mat karna,
agar hum chor k tum ko,
manoo mati main so jain,
humaari aankh bojhal ho,
aur hum nendoo main kho jain,
humarey khwaab ko ankhoon main,
phir aabad mat karna,
suno! tum yaad mat karna,
humarey wastey jevan ko yoon,
barbaad mat karna.............!!
Apnay Dil ko sambhalo,Or so jao,
Aanso ankhon main chupa lo,Or so jao.,

Kuch nahe Milta ishQ main Siwaye is ke
,
Ghum ke barish main naha lo,Or so jao.,

Choor do ye Ratoon ko dair tak jaagna
,
Us ke yaad Dil say mita lo,Or so jao.,

IshQ main hamesHa bewafai he hoti hai.
,
Ye bat zehan main bitha lo,Or so jao.....!!
Chirag-e-Shab Ko Jese,
Aandhiya’n Achi Nahi Lagti’n,

Kuch Aise Hi Humei’n
,
Khush-Fehmiya’n Achi Nahi Lagti’n,

Jinhe’n Sonay k Pinjrey Mein
,
Ghiza Mil Jaye Chaandi Ki,

Unhei’n Phir Umr Bhar
,
Aazadiya’n Achi Nahi Lagti’n,

Wo Jin K Dil Mein Fasl-e-Gham,

Ne Derey Daal Rakhy Hon,

Unhe’n Phoolo’n Pe Bethi Hui
,
Titliya’n Achi Nahi Lagti’n,

Mera Dil Chahta Hy Unhe’n
,
Aaena Dikhao’n MOHSIN,

Wo Jin Ko Doosro’n Ki
,
Khoobiya’n Achi Nahi Lagti’n....!!
Suno..!!

”MOHABBAT” Yun Nahi Hoti,
Kisi Ka “NAAM” Lene Se,

Kisi Ko “THAAM” Lene Se,

Kisi k “PAAS”Jane Se,

Kisi k “DUUR” Jane Se,

MOAHBBAT Ka Janam Nahi Hota,

Jab Tak Dilo’n Ka “MILAN” Nahi Hota,


Suno..!!


“MOHABBAT” Yun Nahi Hoti,

Ye “RABTA” Hy Dil Se Dil Ka,

Ye “NAAM” Hy Betarteeb,

“DHARKANO’N” Ka
MOHABBAT Tou Aankho’n Se,

“BAYAN” Hoti Hy,
Ye Tou Dil Ki “ZUBAAN” Hoti Hy,


Suno..!!

 
“MOHABBAT” Yun Nahi Hoti.....!!
zara Roth jany pe itni khushamad
Wasi Tum Bigaro gy Adat kisi ki....!!
Aao Jan’ch letey hen,
Dard ke Traazoo per,
Kis ka Gham kahan tak hai,
Shidate’n kahan tak hen,
Kuch Aziz logo’n se pochna to parta hai,
Aj-kal Mohabat ki Qeemate’n kahan tak hen,
Ek sham aa jao, Khul ke Hal-e-Dil keh len,
Kon jane sanso’n ki, Mohalaaten kahan tak hen.....!!