29 November 2011

Chalo ik nazam likhtay hain,
Wo aisi nazam ho jis main,
Kisi ka zikar hi na ho,
Kisi ki fikr hi na ho,
Kisi ki be wafai ka,
Kisi ki kaj addai ka,
Kisi ke lot ane ka,
Kisi ke chhor jane ka,
Na uss main phool hi mehkain,
Parinday tak nahi chehkain,

Wo aisi nazam ho jis main,

Kisi ki yad hi na ho,
Koi faryad hi na ho,

Wo aisi nazam ho,

Jis main na barish ho,
Na badl hon,
Na bheega bheega kajal ho,

Wo aisi nazam ho jis se,

Kisi ki aankh na ho nam,
Na zyada dukh hon,
Na hi kam,

Wo aisi nazam ho jis main,

Na shikva na shikyat ho,
Koi aisi hikayat ho ke,
Jis say dil behal jaye,

MGAR

Wo nazam main Kaise likhon,
Koi bata day na,
Wo aisi nazam,
HAAN
Jis main kisi ka Zikr hi na ho,
Kisi ki fikr hi na ho.....................!!
Milay Ho Baad Muddat Ke
Tou Kaisi Yeh Jhijak Si Hai?
Labon Per Lafz Kyun Aa Kar
Adaa Honay Se Qaasir Hain?
Jo Kehna Hai Woh Kehh Daalo
Magar Thehro!
Suno Lekin!
Mujhay MujhSe Bicharrnay Ki
Koi Taaweel Mat Daina
Tumhari Chuup Ke Lehjay Ko
Abhi Bhoola Nahin Hoon Main
Tumhari Kham'shi Ke Sab
Mujhay Mafhoom AzBar Hain
Tumharay Un-Kahay Lafzo'n Ko
Dil Ab Bhi Samajhta Hai
Suno! Be-Rabt Lafzo'n Ke
Koi Ma'aani Nahin Hotay
Suno! Lafzon Ke Pehloo Se
Agar Mafhoom Uthth Jaaye
Tou Baaqi Kuch Nahin Rehta
Khizaa'n Ki Ruut Mein Gulshan Ko
Kabhi Ba-Ghaur Dekha Hai?
Keh Jab Pattay Bikhar Jaayen
Tou Shaakhain Baanjh Lagti Hain
Keh Pattay Zard Bhi Ho'n Tou Shajar Ki Shaan Hotay Hain
Na Karna Ab Koi Waada
Hamesha Saath Rehnay Ka
Keh Bichhrray Mil Bhi Jaatay Hain
Keh Mil Kar Phir Bichharrnay Ke Bhi Tou Imkaan Hotay Hain
Jabhi Kehta Hoon Main Tum Se
Mujhay Mujh Se Bichharrnay Ki... Koi Taaweel Mat Daina....!!
YooN Hawa chali
Gard say Ata tan-badan mera
phir utha chali
yooN hawa chali

main k khwab-gar, gharq sar-basar

Husn-o-ishq main , rung-o-noor main
thi yunhi talab
Zindagi dil-e-naasaboor main
Lehr waqt ki, sakht sangdil
sub baha chali

YooN hawa chali


naqsh jaaN-faza, rung dil ruba

Husn ki rida par naqoosh thay aesay ja-ba-ja
fan k aasmaN par najoom thay
qaaflay sabhi jo wafa ky thay, purhajoom thay
naqsh mit gaye, rang utar gaye
taaray bujh gaye
qaaflay lutay
main khara hoN ab, apnay ehd main
chaarsoo miray simtein mit gayieN
hooN khajil khajil , rooh muzmahil
sochta hon main
kab wafa chali
yooN hawa chali.......!!
Hawa ki beti

Pareshan kyun hai


Tujhe kia huwa hai


Kyun bikhri hain zulfain


Kyun daman hai maela


Kyun jabeen pe shikan hai


Hathoon ki mehndi kahan kho gaye hai


Kyun khamosh hai


Kyun majboor hai


Pereshan kyun hai


Tu hawa ki beti


Tumhi ne to ghar ko ghar hai banaya


Tumhi ne to hum ko muhabat sikhayi


Tumhi ne to sab ko manzil dikhayi


Tumhare liye to chaman khil khilaya


Tumhare liye hai gulon ki ye khushboo


TumhI se to duniya main hai ye ujaala


Phir ye tareek rahain


Kyun tera muqadar


Is jalti zameen pe


Kyun tera thikana


Aangan main tere ye shoole hain kaise


Kyun tu ne hai apne ghar ko jalaya


Hawa ki beti


Pereshan keyun hai


Tujhe kia huwa hai.......!!
Suno logo....!!
Gunaah saarey zameeN se aasmaaN tak,
Phail jaaiN or,
Falak ko daiN azaabooN ki agar dawat,
To aise mein nadaamat ka koi qatraa,
AzaaboN ke waseeh daryaa ke rukh ko,
Morr deta hay, junooN ko torr detaa hay,
Agar ye haath uth jaeiN duaa ko to,
GunaahooN ke pahaarooN ko mitaa daalaiN,
Zameen-o-AasmaaN ko yeh hilaa daalaiN,
Chalo hum tum duaa kar laiN,
Khudaa se iltijaa kar laiN,
Khaloos-e-dil se maangaiN to,
WafaaeN radd nahi hoteen,
Duaaein radd nahi hoteen...............!!
Aziat apni qismat thi aziat se nahi nikly,
juda ho kar bhi hum dono mohabbat se nahi nikly,,

Aana ke daae'ron main the so aik doje ko dhutkara,

Magar phir umar bhar dono malamat se nahi nikly,

Qadam chokhat par rakhty he ye bazoo phael jaty hain,

Mohabbat se Nikal Aae hain aadat se nahi nikly,

Bohat mumkin tha ruk jaty pukara hi nahi tum ne,

Tere koochy se hum itni bhi ujlat main nahi nikly,

Mere jazbat abhi mere bass main nahi rehty,

Ke aanso ab teri khatir ijazt se nahi nikly...........!!
Abhi kuch din mujhe meri Mohabbat azmane do ,
Mujhe khamosh rehne do ,

Suna he Ishq sacha ho to khamoshi lahu ban ker
ragon me naach uth’ti he ,

Zara us ki ragon me Khamoshi ko jhoom jane do ,
Abhi kuch din mujhe meri mohabbat aazmane do ,

Usee main kyun btaon main ne usko kitna chaha hy ?

Btaaya Jhooth jata he k sachi baat ki Khushbu to
khud mehsoos hoti he ,

Meri baatain , meri sochian , us’se khud jaan jane do ,
Abhi kuch din mujhe meri Mohabbat azmane do ……..!!
Wo jo mud’dato’n sy
mila nahi

Main bhi dhoondny

main thaka nahi

Usay dhoonda mene

gali gali

Koi chorhi mene jaga nhi


Sab ny kaha usay bhool ja


Dil ny kaha wo bura nhi


Bhula duun usay main

bhi agar

Phir farq hum me

raha nahi

Milte nhi tou kia

hua

Mere dil se wo tou

juda nahi …!!
Aye Anjan Larki
Jab Udas Lamhon Main
Tum Ko Koi Yad Aaye
Sochna
To Phir Khud Say
Yeh Sawal Bhi Karna
Kis Nay Pooja Tha Tumhain
Kon Tha Woh Kaisa Tha.....!!
Azmat-E-Zindagii Ko Bech Diyaa
Ham Ne Apanii Khushii Ko Bech Diyaa

Chashm-E-Saaqii Ke Ik Ishaare Pe

Umr Kii Tishnagi Ko Bech Diyaa

Rind Jaam-O-Subuu Pe Hansate Hain

Shaikh Ne Bandagii Ko Bech Diyaa

Rah Guzaaron Pe Lut Gaii Raadhaa

Shaam Ne Bansurii Ko Bech Diyaa

Jagamagaate Hain Vahashaton Ke Dayaar

Aql Ne Aadamii Ko Bech Diyaa

Lab-O-Rukhsaar Ke Ivaz Ham Ne

Sitvat-E-Khusravii Ko Bech Diyaa

Ishq Beharuupiyaa Hai Ai ?Sagar?

Aap Ne Saadagii Ko Bech Diyaa....!!