11 November 2011

Ajab pagal c larki hai
Ajab Pagal c Larki Hai
Mujhe Her Roz Kehti hai
"Batao Kuch Naya Likha"
Main Jab Bhi Uss Se Kehta Hoon
"Haan ik Nazm Likhi Hai
Mgar Unwaan Dena Hai"
BhoT Bechain Hoti hai
Wo Kehti Hai
"Acha Sunao
Main Ussy ik Acha Sa Unwaan Deti Hoon"
Wo Meri Nazm Sunnti Hai
0r UssKi Bolti Aankhain
Kisi Missry Kisi Tashbeeh Per Yu Muskurati Hain
Mujhe Lafzoon Se Kirrnain Photti Mehsoos Hoti Hain
Wo Meri Nazm Ko Acha Sa ik Unwaan Deti Hai
0r Uss K Aakhri Missry K Neechy ik Ada-e-Benayazi Se
Wo Apna Naam Likhti Hai
Main Kehta Hoon
"Suno!
Ye Nazm Meri Hai
To Phir Tum Ne Kyon Apny Naam Se Mansoob Ki Hai"
Meri Ye Baat Sun K UssKi Aankhain Muskurati Hain
Wo Kehti Hai
"BARA SADA SA RISHTA HAI
K JESY TUM MERY HOO
ISS TERHA YE NAZM MERI HAI"
"KIA TUM BHI"

Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho . .!!

Or kisi awara patte ki ahat pr,


Darwaze ki tarf bhaage jate ho . .!!


KIA TUM BHI . . ?


Dard chupane ki koshish krtay krtay . .!!

Aksar thak se jatay ho . .!!
or
bila waja muskaratay ho . .!!
KIA TUM BHI . . ?

Neend se pahele palkoun pr . .!!

Dheroun khuwab sajatay ho. .!!

Ya phir bistar pr late kr ,

Rotay rotay so jatay ho . .!!

KIA TUM BHI. . .?
Jaisa keh mujhey tum samjhe hoo
Esa to na main pehlay tha
Jaisa keh main ab dikhta hon
Esa to na main pehlay tha..!!

Jab mai nay mohabbat ki thi tab

Main adab-e-wafa sey waqif tha..!!

Ik shaks ko socha kerta tha

Bas uss sey milan ki chahat thi
Nazron ko zarurat uski thi
Bas ik chehray ka qaail tha...!!

Dil key har darwaze per

Bas uski dastak hoti thi
Zehan key har ik konay mai
Bas baat usi ki hoti thi...!!

Tehrir kiyee mazmoon-on mai

Bas naam usi ka hota tha
Unwan bohat thay per un mai
Bas khayal usi ka hota tha...!!

Duniya bhalay thi wasih bohat

Bas meri duniya us mai thi
Mehboob bhi tha, Matloob bhi tha
Maghrur bhi tha, Mehzuz bhi tha...!!

Jaisa keh mujhey tum samjhe hoo

Esa to na main pehlay tha
Jaisa keh main ab dikhta hon
Esa to na main pehay tha...!!

Jab mai nay muhabbat ki thi tab...!!

Main adab-e-wafa sey waqif tha!!!
CHALAY JO HO TO BATA K JAO,

KEH KITNI SHAAMEN UDAS AANKHON MEI KAATNI HAIN,


KEH KITNI SUBHAIN AKELAY PAN MEI GUZAARNI HAIN,


BATA K JAAO KEH KITNAY SURAJ AZAAB RAASTON KO DEKHNA HAI,


KEH KITNAY MAHTAAB SARD RAATON KI WUS'ATON SAY NIKAALNAY HAIN,


BATA K JAO KEH CHAAND RAATON MEI WAQT KESAY GUZAARNA HAI,


KHAMOSH LAMHON MEI TUJH KO KITNA PUKARNA HAI,


BATA K JAO KEH KITNAY LAMHAY SHUMAAR KARNAY HAIN HIJR RAATON K,


KEH KITNAY MAUSOM AIK AIK KAR K JUDAIYON MEI GUZAARNAY HAIN,


BATA K JAO KEH PANCHHIYON NAY AKELAY PAN KA SABAB JO POOCHA,


TO KAYA KAHOON GA????


BATA K JAO ...MEIN KIS SAY TERA GILA KAROON GA,


BICHHAR K TUJH SAY HABIB..KIS SAY MILA KAROON GA,


BATA K JAO KEH AANKH BARSI TO KON MOTI CHUNA KARAY GA,


UDAS LAMHON MEI DIL KI DHARKAN SUNA KARAY GA,


BATA K JAO KEH MAUSOMON KO PAYAAM DENAY HAIN YA NHI,


FALAK KO, TAARON KO, JUGNUON KO SALAAM DENAY HAIN YA NHI,


BATA K JAO KEH KIS PAY HAI AITBAAR KARNA,


TO KIS KI BAATON PAY BAY NIYAZI K SILSILAY IKHTIYAR KARNA,


BATA K JAO KEH AB RAWWAIYON KI CHAAL KAYA HO,


JAWAB KAYA HO, SAWAAL KAYA HO,


UROOJ KAYA HO,ZAWAAL KAYA HO,



NIGAH,RUKHSAAR,ZULF,CHEHRA
...NIDHAAL KAYA HO,

BATA K JAO KEH MERI HAALAT PAY CHANDNI KHILKHILA PARRI TO,


MEIN KAYA KAROON GA,


BATA K JAO KEH MERI SOORAT PAY TEERGI MUSKARA PARRI TO,


MEIN KAYA KAROON GA,


BATA K JAO KEH TUM KO KITNA PUKARNA HAI,


BICHHAR K TUJH SAY YEH WAQT KESAY GUZAARNA HAI,


UJAARNA HAI? NIKHAARNA HAI?


CHALAY JO HO TO BATA K JAO,


KEH LAUTNA BHI HAI YA...?
AGARCHAY TU KOI SURAJ NHI HAI,
MGAR NERI ZAMEEN K AASMANON PAR
JAHAN TAK BHI NAZAR JAAEY,
FAQT TERA UJALA HAI,
TU MERI ZAAT KA ROSHAN HAWALA HAI ....!!
Kaha Na Pyaar Hai Tum Say
To Phir Kyon Zid Tumhari Hai
Ke Jub Bhi Main Miloon Tum Say
Yehi Izhar Ho Lab Pay
Mujhe Tum Say Muhabbat Hai
Tumhain Maloom Hai Jana
Muhabbat To Muhabbat Hai
Yeh To Ankhon Mein Dikhti Hai
Haseen Say Khwab Ki Soorat
Isay Kehna Nhi Parta
Buhut CHup CHaap Jazba Hai
Dabay Paon He CHalta Hai
Magar Jo Naksh Is K Hain
Buhut He Gehray Hotay Hain
Unhain Kehna Nhi Parta…!!