26 April 2012


HIJR KI RAAT KATNE WALO,

KYA KARO GE
AGAR SEHAR NA HOWI....!!

KAYI RUTOO'N SE,

MERE NEEM WAA DARECHOO'N MAIN,
TEHAR GYA HAI,
TERE INTZAR KA MOUSAM...!!

Main jab bhi,

zindagi ki chilchilaati dhuup men tap kar,
main jab bhi,
dusron ke aur apne jhuut se thak kar,
main sab se lar kar khud se haar kar,
jab bhi us ek kamre men jata tha,
wo halke aur gehre kat’thaii rangon ka ek kamra,
wo behad meherbaan kamra,
jo apni narm muthi men mujhe aise chhupa letaa tha,
jaise koi maan,
bacche ko aanchal mein chhupaa le,
pyaar se daante,
ye kyaa aadat hai,
jaltii do-pahar men maare-maare ghuumte ho tum?

wo kamraa yaad aata hai,
dabiiz aur Khaasaa bhaarii,
kuch zaraa mushkil se khulne waalaa,
wo shiisham kaa darwaazaa,
ke jaise ko’ii akkhaR baap,
apne khurdure siine meN,
shafqat ke samandar ko chuupaye ho,
wo kursii,
aur uske saath vo jurvaan bahen uskii,
wo donoN,
dost thiin meri,
wo ek gustaaKh munh-phat aiinaa,
jo dil kaa acchaa thaa,
wo be-hangaam si almaarii,
jo kone men khari,
ek boorhi anaa kii tarah,
aaiine ko tambiih karti thii,
wo ek guldaan,
nanhaa saa,
bahut shaitaan,
un donon pe hanstaa thaa,
dariichaa,
yaa zahaanat se bhaarii ek muskuraahat,
aur dariiche pe jhukii wo bel,
ko’ii sabz sargoshi,

kitaaben,
taakh men aur shelf par,
sanjiidaa ustaanii banii baithii,
magar sab muntazir is baat kii,
maiN unse kuch poochuun,
sirhaane,
niind kaa saathii,
thakan kaa chaaragar,
wo narm-dil takiyaa,
main jiskii goad men sir rakh ke,
chhat ko dekhtaa thaa,
chhat ki karion men,
na jaane kitne afsaanon kii kariaaN thiin,
wo chhotii mez par,
aur saamne diivaar par,
aavezaan tasveeren,
mujhe apnaiyat aur yaqiiN se dekhtin thin,
muskuratii thin,
unhen shak bhii nahin tha,
ek din,
main unko aise chhor jaaon ga,
main ek din yun bhi jaaon ga,
ke phir vapas na aaon ga,

main ab jis ghar men rahta hun,
bahut hii Khubsurat hai,
magar aksar yahan Khamosh baitha yaad karta hun,
wo kamra baat karta tha...!!

Mujh ko baatein kab aati hain ? 

Main to bus khamosh sa sha'ir, 

Ulfat chahat ke rango se,
Dil ki khali tasveero mein, 

Koi Mohabbat likh deta hoon,
Aur kabhi deewar se lag kar, 

Koi Mohabbat ro deta hoon,
Aur kabhi aankhon aankhon mein, 

Saari baatein keh jata hoon,
Main to ek khamosh sa sha'ir, 

Mujhko baatein kab aati hain ? 
Mujh ko baatein gar aati to, 

Tum kiya mujh ko chhor kar jaati ?
Mere sapne tod kar jaati ?
Kiya meri aankho mein dukh ke ? 
Itne aansoo dekh sakti thi ?

Mera kul sarmaya tha jo,
Kiya mujh se woh le sakti thi ?

Mujh ko baatein gar aati to,
Main bhi tumse woh sab kehta, 

Jo tum sunne ki khwahish mein,
Saare raaste bhool aayi ho,
Saare rishte bhool aayi ho,

Main thera khamosh sa sha'ir,

Mujh ko baatein gar aati to ,
Tum bhi mere khwab sajaati,
Yoon na tanha chhor kar jaati, 

Kaash, Mujhe bhi baatein aatien...!!

Kaha uss ne....!!

Tab waqai mujhe tum se mohabbat thi,

Kaha main ne...!!
Main tu ab bhi tum se mohabbat karta hoon,
Wo tab kii baat karti hai,
Main ab ki baat karta hoon,

Magar iss ab aur tab ke darmeyaan jo faasla hai,
Wo hum donno se mil kar bhi samaita jaa nahi sakta,
Wo ab tak aa nahi sakti,
Main tab ko paa nahi sakta..!!

Usko, 
Bare khuloos se, 
Samjhaya tha ,
Yeh muhabbat, yeh chahat ,
Yeh rooh ,yeh jism ,
Yeh jan ,
Sab kisi ke amanat hain ,
Mere pass ,
dene ko kuch bhi nahin hai ,
Usne khamooshi se ,
Mere bahtay huye ashkoon ko ,
Apni hatheli per saja liya ,
Aur yeh ,
kahte huye chal di ,
Mujhe mere jeene ka ,
Sahara mil gaya.... !!

Koi nazam kese kahain ke hum,

Na charagh hain,
Na misaal-e-Harf-e-Gulaab hain,
Na khayal hain,
Na kissi ki aankh ka khawab hain,
Kissi gum shudda si wafaon ki,
Kissi shaam mein,
Jo bichhar gaye,
To bichharne walon ki yaad mein,
Kahiin rait mein,
Kahiin ashk-e-ghumm ka ghubaar hain,
Wo jo dasht,
Hijar ka hai kahiin,
Issi dasht-e-shaam-e-judai ke,
Yeh jo daagh hain,
Teri yaad ke,
Tere baad ke,
Koi nazam kese kahain ke hum,
Na charagh hain,
Na misaal-e-harf-e-gulab hain,
Na khayal hain,
Na kisi ki aankhh ka khwaab hain,
Yeh jo shehar hai,
To yeh shehar bhi,
saff-e-dushman se milla hua,
Yeh jo log hain,
To yeh log bhi,
kahan jante hain ke kya hua,
Koi nazam kese kahain,
Ke hum,
yeh fizza hi aisi nahi rahi,
Jo charagh koi jalain hum,
To hawa hi aisi,
Nahi rahi,
Tahi fikr aise huay hain hum,
Tere haal-o-hadd ka bayan bhi ab,
Na hamare dast-e-hunnar mein tha,
Na hamare dast-e-hunnar mein hai...!!

Hum kese pagal hote the,

Ek phool ko chone ki khatir,
Kantoon se zakhmi hote the,
Jo phool jholi main aa girta,
Ussay choone se dar jatey the,

Hum kese pagal hote the,
Ke dhundle aaein'oon main apna,
Hum aks sa dhoonda kerte the,
Aur kirchay'an chatkhe aaein'oon ki,
Muthi main daba kar rakhte the,

Hum kese pagsl hote the,
Jab sadak pay chalna hota tha,
Hum kashti le ker chalte the,
Aur beech bhanwar jane ke liye,
Hum padel nikla kerte the,

Hum kese pagal hote the,
Jab barish barsa karti thi,
Hum chatri main chup jate the,
Aur jalti dhoop main nange sir,
Hum chatt par uchla kerte the,

Hum kese pagal hote the,
Jab pass wo bohat hota tha,
Hum uss ko dekh na sakte the,
Jab woh door chala jata tha,
Hum aahat uss ki sunte the,

Hum kese pagal hote the,
Jab sari dunya soti thi,
Hum chand se khela karte the,
Jab sari dunya jag utthti thi,
Hum thak kar so jate the,

Hum kese pagal hote the,
Hum kese pagal hote the,

Hum aaj bhi waise pagel hain,
Hum aaj bhi waise pagel hain...!!

"Talash"



sare-e-mehfil...!! 
Kahin jo mil jaay, 

us se kehna, 
ke tera mutlashi, 

aaj bhi rah-e-guzar par baitha hai..!!

Aur wahin say guzarne walon ko, 
tera huliya bata kar kehta hai,

Tum ne iss ko kahin dekha hai?
Main ne uss ko yahin khoya tha...!!

Faqat tum se itna hi kehta hon,

Khafa hona ,
Mana lena,
Ye sadiyo se riwayat hai,
Mohbbat ki alamat hai,
Gily shikwy karo mujh say,
Tumhen ye ijazat hy,
magr ek baat meri b zara tum yaad rakh lena,
Kabhi aisa b hota hai,
Hawain rukh bdalti hain,
Khizain laut ati hain,
Khatain ho he jati hain,
Khata hona b mumkin hai,
Khafa hona b mumkin hai,
Humesh yad rakhna tum,
TALUQ,
Rooth jany say kabhi ,
Toota nahi karty..!!

" FAASLEY"



Mohabbat Aasmaanon Ki Bulandii Tak Pohunchti hai,
Magar Kuch Faasle Aise Hain,

Jin Ko Khatam Karne Par,
Anaa Qayam Nahi Rehtii,

Anaa Ka Istehqaam-e-Mustaqil,
Chahat Mein Lazim Hai,

Mujhe Tum Se Ye Kehna Hai,
ke Mere Aur Apney Darmyan Ik Faasla Rakho,

Ye hi Ik Faasla Chahat Ki Mazbooti Ka Zamin Hai,
Ye Deewar Hum Donoon Ko Aapas Mein,

Shaoor-e-Ehtraam-e-Aarzoo Ka Dars Detii Hai,
Anaa Ki In Faseelon Se Parey,

Duniya Ki Jitnii Apni Mantaq Hai,
Gawara Iss Ko Mera Dil Nahi Karta,

Mujhay Har Haal Mein Apni Anaa Qayem bhi Rakhni Hai,
Aur Iss ke Sath,

Taqdees-e-Wafa bhi Qayem Rakhni Hai,
Mujhay Bas Itna Kehna Hai,

Ke Mere Aur Apney Darmiyan Ik Faasla Rakho...!!

Chalo ek nazm likhte hai,

kisike naam karte hai, 

magar ye sochna hai ab,
ke us mein ziqr kiska ho, 

k us mein baat kis ki ho, 
ke us mein zaat ki ki ho, 

aur ye bhi farz karte hai,
ke ispe nazm likhte hai,

hamein usse mohabbat hai, 
hamare saare jazbon ko,

Bas uski hi zaroorat hai, 
chalo ek kaam karte hai,

ke hum jo nazm likhte hai,
tumhare naam karte hai,

tum hi unwaan ho iska,
tumhara ziqr hai ismein,

tumhari baat hai is mein,
tumhari zaat hai is mein...!!

Akhir ik din,

us ne mujh se keh hi dala,
mujh per bhi ik nazam kaho tum,
aisi nazam,
ke jis mein mera naam na aaye
Main khud aaoon.................!!

Jis tarha shabnam,

Raat ke ghup andhere mein,
Anjaani raahon par chal kar,
Kissi phool ki saij pe sajti hai,
Bilkul ussi tarha,

Mein bhi deis, deis ka pardesi,
tere naam ki surkhi ban-na chaahon,
Ye jante howe bhi,
Ke subha hote hi,

Ye shaffaaf mootiyun ka shehar,
Baad e naseem main gum ho jayega,
Aur suraj ki pehli kiran se,
Mom ka shehar pighal jayega,.........!!

AB SOCH RAHA HOON SOCHOON KYA,

IK BAAT HI DIL MAIN AATI HAI,
IK AUR ISHQ HI KAR DALOON,
PAR,
WO PEHLE ISHQ KA LAMS MUJHEY,
KAB IZN E REHAYE DETA HAI....!!

Itna he yaad rakh mujhe,
JesE kis kitaab mein,

Beetay dino kE dost ka,
Aik khat parha hua mile,

Lafz mitey mitey sahi,
Rung urha urha sahi,

Lekin wo ajnabi na ho...!!

Dua ke liye hath jab bhi uthaye,

Tamana'on ki bheer mein sab se agey,
Wo hi aik chehra,
Nigahon mein ata hai,
Main bhool jata hon,
Kya manga tha,
Bicharne ke dukh mein kami ya,
Milan ki dua....!!

Khawab ki musafat se,
Wasal ki tamazat se,

Roz-o-Shab riyazat se, 
Kia mila mohabbat se ?

Ik hijar ka sehra,
Ik shaam yadon ki,

Ik thaka hua aansoo...!!

Mujhe' raayigaaN na talaash kar,

Mein safar mein tha,
Mein safar mein hooN,

Kabhii noor-e-harf ki raah mein,
Mere' khush'shanaas mein, aaooN ga,

Mujhe' doosroN se talab na kar,
Mujhe' khud se maaNg ke dekhna,

Ma be'rang aks-e-gohar'numaa,
Kaff-e-iltamaas mein aaooN ga,

Mujhe' ab tu shaoq se bhool ja,
Ye hi naaz kam to nahii ke mein,

Terii chaahaton ki kitaab ke,
Iqtabaas mein aaooN ge....!!

Pehle chand ki naram mehekti raat,

Subuk sahil ki thandak,

Aur khush lams hawa,
Tan ki chah mein jalne wali,

Do pyasi rohon ko aisi chone lagi thI,
Jese un ka dukh pehchan gayI ho....!!

Jab bhi dekhna chand ko ,

To yaad kerna hamein,

Ye soch ker nahin ke,
Khoobsurat hai wo,

Ye soch ker kE tanha hai wo,
Sitaroon ki bheer mein...!!

Andheron k ghane jungle mein,
Manzil dhundte logo,

Fiza-e-taira-o-tareek se,
Bahir nikalana hai to phir aao,

Khuda se roshni mango,
Muhammad Mustafa se roshni mango,

Shah-e-karb-o-bala se roshni mango...!!

JAN E MOHSIN,
MERI TAQDEER MAIN KAB LIKHA THA?
DOBTA CHAND,
TERA QURB,
GAJAR,
SANATA.....!!

~*~Badalon Se~*~


Tere sheher ki simat, 
Rawan dawan badalon se,

Keh di hai wo her baat dil ki,
Jo faqat tum se thi kehni,

Raat jab jal thal bheege tera angana,
To is barasti barish ko tum ghour se sunana...!!

IK AAG GHAM E TANHAYI KI JO SARE BADAN MAIN PHEL GAYI,

JAB JISM HI SARA JALTA HO, PHIR DAMN E DIL KO BACHAYEN KYA...!!

Bicharte waqt us ne kaha tha,

Na sawal kerna,
Na jawab mile ga,
Mujhe bhool jana,
Qaraar mile ga,

Hum us muqam par the,

Na sawal kia,
Na jawab mila,
Na bhool Sake,

Na qaraar mila...!!

KHAWAB AANKHOON SE AB KOI CHURA KAR LE JAYE,

QABR KE SOKHEY HOWE PHOOL UTHA KAR LE JAYE,

MUNTAZIR PHOOL MAIN KHUSHBOO KI TARHA HOON KAB SE,
KOI JHONKEY KI TARHA AYE, URAA KAR LE JAYE,

YE BHI PANI HAI, MAGAR AANKH KA AISA PANI,
JO HATHELI SE RACHI MEHNDI CHURAA KAR LE JAYE,

MAIN MOHABBAT SE MEHAKTA HOWA KHAT HOON, MUJH KO,
ZINDAGI APNI KITABOON MAIN CHUPA KAR LE JAYE,

KHAAK INSAF HAI NABEENA BUTOON KE AAGEY,
RAAT THALLI MAIN CHIRAGOON KO SAJA KAR LE JAYE,

UNN SE KEHNA MAIN PEDAL NAHI AANE WALA,
KOI BAADAL MUJHEY KAANDHEY PE BITHA KAR LE JAYE....!!

Ek aarzoo hai puri parwardigar kare,

Mein dair se jaon wo mera intzar kare.,

Apne hathon se sanwarun zulfein uski,
Wo sharma kar mohabbat ka iqrar kare,

Lipat jaye mujh se aalm-e-madhoshi mein,
Aur josh-o-janun mein mohabbat ka izhar kare.

Ho shab-e-wisal aesi YA RAB,
Ke bheegi zulfon se mujhe bedaar kare,

Jab use chor ek jana chahun Wasi,
Wo roke or ik raat ka israr kare,

Qasam KHUDA ki main kisi aur ki ho nahi sakti,
Ye wada-e-wafa wo bar bar kare.....!!

Band Karo Ye Sher-o-Shairy aur Sakht Lafz,

Saaf Saaf Q Nahi Kehty Ke Tumhein iShQ hOa..!!

Ye mumkin nhi k sabhi log badal jatay hain
Kuch halat k sancho main b dhal jatay hain


Khali hathon ko kabi ghor se dekha hay “Faraz”
Kis tarha log lakero say nikal jatay hain...!!

"MUJHE AWAZ DE LENA"

Kabi jab aankh chalke tu,
Kabi jab dil na sambhle tu,
MUJHE AWAZ DE LENA....!!

Kabi jab dor ho koi,
Bohat majbur ho koi,
Koi awaz na de tu,
MUJHE AWAZ DE LENA....!!

Koi ansu na ponchE tu?,
Koi hansne se roke tu,
Koi tumko sataye tu,
MUJHE AWAZ DE LENA....!!

Kabi jab din na guzrE to,
Kabi din mein andhera ho,
MUJHE AWAZ DE LENA....!!

Main ap k pass hon,
Main ap k sath hon,
Magar phir b guzarish hai?

MUJHE AWAZ DE LENA....!!

Aik jumle mein kahon?
Wo shakhs mere liye kya hai,

Dua hai....Wo Shakhs.....!!

Mere liye wo dua hai,
Ke jis ke heele se main ne,
Sab kuch mangna seekha hai....!!

Dharknon k nasheb-o-faraz ko sanwara tha, or Bus,
Kaghaz pe Dil ka bojh utara tha! or bus,

Bus itna janta hoon k awaz uski thi,
Itna pata hai usne pukara tha! or Bus,

Dunya ki fiqar kya thi zamane ka khauf kya?
Hum ko faqat khayal tumhara tha! or Bus,

Chahton k jahan mein kuch faiyda ho na ho magar,
Chahton k junoon mein sirf khasara tha! or Bus,

Logon ne usy meri Muhabbat samajh liya,
Meer wo mujh ko Jaan se Pyara tha! or Bus...!!

Main nay us k hath ki lakeron main,
Aik siyah til dekha,
Aur usay bataya, ye Daulat ka til hay,
Tumahray hathon main kitni Daulat hay,
Us nay apnay dono hathon say,
Mera chehra thaam kar kaha,
Han ! Dekho meray dono hathon main,
Kitni Daulat hay...!!

MAUT TU NAAM SE BADNAAM HAI,
WARNA TAKLEEF TU ZINDAGI DETI HAI...!! 

KOI AGAR KHALOOS E DIL SE PARHEY MUJHE,
MAIN SAR BASAR KITAB E TAMANA DIKHAI DOON,

HAR AIB SAHI MUJH MAIN MAGAR AAJ BHI MUJH KO,
APNOO SE KHAFA HONE KA ANDAZ NA AYA....!!

AA ZINDAGI TUJH SE KOI SHIKWA BHI KYA KARNA,
TUJHE TU KHUD HUM SE GILEY BOHAT HAIN...!!

KAB MILI THI, KAHAN BICHRI THI HAMEEN YAAD NAHI,
ZINDAGI TUJH KO TU BASS KHAWAB MAIN DEKHA HUM NE...!!

KIS QADAR MASOOM, KITNI KHAMOSH, LEKIN BE WAFA,
HUM NE POCHA KON, WO GHABRA KE BOLI "ZINDAGI"....!!

NIKAL DO HAMARE SENE SE KAMBAKHT YE "DIL"
ISS NE LAGA RAKHI HAI,
MOHABBAT, MOHABBAT, MOHABBAT.....!!

WAQT SAB KUCH HI CHEEN LETA HAI
WO TU PHIR AIK MUSKRAHAT THI...!!

MAIN WO CHIRYA HOON,
JISS KE PARR URNEY SE PEHLE HI KAAT DIYE GAYE,
AUR PHIR MAA NE KAHA,
KE TUM WO HO,
JISS KO URTA DEKH KAR,
HAR KOI QAYD KARNA CHAHE GA,
TAB SE MAIN AISI SEHMI,
KE URNA HI BHOOL GAYI.....!!

(DEDICATED TO ALL GIRLS)
ALWAYS RESPECTS GIRLS AND THEIR EMOTIONS

MUJHE ROZ O SHAB KI KITAB MAIN,
KOI AISA HARF NA MIL SAKA,

JISE CHANDNI KI SI TAAB DOON,
JISE DHOOND KAR, JISE KHOOJ KAR,
RUKH E ASMAN PAR SAJA BHI DOON,

MERE KHOOB E DIL KI NIGARSHEEN,
MERI ROOH TAK KE FISHAR BHI,
YAHAN ILM O FUN KI DUKAN PAR,
BARE SASTEY DAMOO SE BIK GAYE,

MUJHE TOOR KAR, MUJHE PHOOR KAR,
MERE DOSTOON NE JALA DIYA,

RAAH E ZINDAGI KE GHUBAR MAIN,
MERI RAAKH TAK KO URAA DIYA,

MUJHE PHIR BHI KOI GILA NAHI,
JO MILA NAHI, SO MILA NAHI....!!