17 April 2012


CHALO USS BASTI KI JANIB CHALTE HAIN QAIS,
JAHAN RANG E QOS E QAZAH, AUR RAQS ISHQ MAIN HOTA HAI…!!

YE GULAB SARE HAIN ARZI, YE GULAB SARE HAIN KAGZI,
GUL E AARZU KI JO BAASS THE, WO HI LOG MUJH SE BICHAR GAYE…!!

Ek pagal si wo larki hai,
Jaane mujh pe kyon marti hai,
Wo har lamha tanha rehti hai,
Aur mujh se baatein karti hai,

Uske geet hi gaata hoon main,
Wo meri awaaz pe marti hai,
Kuch aisa asar hai uska ki,
Har saaz me jaadu bharti hai,

Ek paagal si wo ladki hai,

Khwaabon mein aaya karti hai,
Meri baatein sochti hai wo,
Chupke se aahen bharti hai,
Main uske pyaar me paagal hon,

Deewana mujhe wo karti hai,
Mishri si meethi boli uski,
Bas meethi baatein karti hai,
Chupke se aake raaton ko,
Mujhko wo chheda karti hai

Ek paagal si wo ladki hai,
Jo mujh se mohabbat karti hai,

Kaano mein aake kuch kehti hai,
Mere baalon se khela karti hai,
Gaalon ko mere chumti hai wo,
Wo khub shararat karti hai,

Ek paagal si wo ladki hai,

Bas paagalpan hi karti hai,
Apni meethi shararat se,
Wo mujhko chheda karti hai,

Ek paagal si wo ladki hai,

Jo meri aawaaz pe marti hai,

Ek paagal si wo ladki hai,
Jo mujh se mohabbat karti hai…!!


Tum dil ki batein kya samjho,
Tum dil ka lagana kya jano,

Tum aag lagana seekh gaye,
Per aag bujhana kya jano,

Ek baar agar tum rooth gaye,
Hum tum ko mana hi lenge,

Ek baar agar hum rooth gaye,
Tum hum ko manana kya jano,

Kuch saath chale kuchh chhod gaye,
Waade jo kiye wo tod gaye,

Saathi to banate rehte ho,
Per saath nibhana kya jano...!!

Thi ik larki pagal si,
Jo Raat ke is peher main Khuda se,
Tumhare liye Dua manga karti thi,
Sochna us ke bare main,
Kitna pyar wo kia karti thi,
Har pall ki saansain wo,
Tumhara naam lia karti thi,
Khyaloon main bula kar,
Bohat si baatain wo kia karti thi,
Neend na aye to souchna,


Thi ik larki paagal si,
Jo maala banati pholoon ki,
Jo gharian Milan ki wo gina karti thi,
Yaadoon main wo doobi raha karti thi,
Ankhoon main kajra siah rang pehnay,
Baal kholay jaise intzaar main,
Wo raha karti thi,
Dharakte dil ko wo qaabo main rakhe,
kuch sun'ne ki chah main,
Tumhari sargoshi wo suna karti thi,
Neend na aye to souchna,


Thi ik larki paagal si,
Jazbaat ke dharoon main Behte Behte,
Sambhal samhal wo jiya karti thi,
Wo nazuk dil larki Daba ke Armaan apne,
Pal pal jeeti marti thi,


Sun rakho Aj bhi wo paagal larki,
Yaad tumhein kia karti hai,
Neend na aye to sochna,
Thi ik larki paagal si.....!!

Teri aankhoon si aankhen,
Aaj Ik Chehre Pe Dekhi Hain,
Wo hi Rangat, Wo hi Banawat,
Aur Wesi Hi Be Rukhi Un Mein,
Bicharte Waqt Jo Main Ne,
Teri Aankhon Mein Dekhi Thi,

Teri Aankhon Si Aankhon Ne,
Mujhay Ik Pal Ko Dekha Tha,
Wo Pal Ik Aam Sa Pal Tha,
Magar Uss Aam Se Pal Mein,
Puranay Kitney Mousam,
Kitney Manzar Main Ne Dekhy The,
Meri Jaan Main Samjha Tha,
Teri Aankhon Si Aankhein Jab,
Meri Aankhon Ko Dekhein Gi,
To Ik Lamhe Ko Sochein Gi,
Ke In Aankhon Ko Pehle bhi,
Kisi Chehre Pe Dekha Hai,

Magar in Jheel Aankhon Mein,
Shanasayii Nahi Jaagi,
Meri Aankhein,
Teri Aankhon Si Aankhon ke Liye,
Kab Khas Aankhein Then,
Teri Aankhon Ne Shayed Ye,
Kayii Chehron Par Dekhi Hon,
Ke Ye To Aam Aankhein Hain,

Main Aisa Soch Sakta Tha,
Magar Main Kya Karon Dil Ka,
Jo Ab Ye Yaad Rakhay Ga,
Teri Aankhon Si Aankhein,
Main Ne Ik Chehray Pe Dekhi Thin,
Phir Uss ke Baad Kitne Din,
Meri Aankhon Mein Sawan Tha...!!

Wo kehti hai, ab roun tu aansoo chubney lagte hai,

Main Kehta Hoon, Kisi Shayr Se Aankhein Maang Sakti Ho,

Vo Boli, Aas Ki Faslein Kayii Beemar Hain Dil Mein,
Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawan Ko Bula Lao,

Vo Boli, Main Adhooray Qaidiyon Ki Saff Mein Shamil Hon,
Main Bola, Iss Ka Matlab Hay k Aazadi Nahi Mumkin,

Vo Boli, Kuch Likhon To Unglion Se Khoon Rista Hay,
Main Bola, Main To Aisy Mein b Apney Dil Se Likhta Hoon,

Vo Boli, Dard Ne Aasaab Ko Murda Bana Dala,
Main Bola, Ishq Ki BeyChainion Se Zindagi Kar Lo,

Vo Kehti Hay, Agar Sab Rastey Masdood Ho Jayein?
Main Kehta Hoon, To Phir Hum Aap Tak Mehdood Ho Jayein,

Vo Kehti Hay, Agar BeyChainian BeySood Ho Jayein?
Main Kehta Hoon, Fana Finnaar Hast-o-Bood Ho Jayein,

Vo Kehti Hay, Agar Veeranian Rastey Mein Aa Jayein?
Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Sastey Mein Aa Jayein,

Vo Kehti Hay, Tumhein Takhti Pe Apney Harf Likh Don To?
Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mery Bastey Mein Aa Jayein,

Vo Kehti Hay, Balayein Jab b Mera Naam Leti Hain,
Main Kehta Hoon, Tumhein Meri Duaein Thaam Leti Hain...!!

Aa moj e hawa ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?

Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?

Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kyon marte hain...!! ?

Agar kuch naam dena ho,
Mujhay Insaan Matt kehna,
Juda chehre, Juda beshak sabhi ke kaam hote hain,
Magar Insaaniyat ke abb yahaa'n per daam hotay hai'n,
Mere Tum daam matt Dena,
Mujhay ye naam matt Daina,
Agar kuch naam dena ho,
Mujhay Ehsaas keh daina,

Magar tehro,

Mujhey ehsas matt kehna,
Mera Buss Naam reh jaay mujhay aisay nahi'n rehnaa,
Mujhay Ehsaas Matt kehnaa,
Ager kuchh naam daina ho, Mujhay saawan he keh daina,

Magar tehro,

Mujhey sawan nahi kehna,
Barasta hai magar rut ke badaltay beet jaata hai,
Mujhay Saawan nahi'n kehna,
Ager kuchh naam daina ho, mujhay aansoo he keh daina,
Janam laina kisi ki aankh mai'n, rukhsaar per marna,
yahi jis ki haqeeqat hai,
Chalo aansoo he keh daina,

Magar dekho,

Kisi ki aankh main mujh ko kabhi aane nahi dena,
Ke qeematt aansoo'on ki abb adaa tum se nahi'n ho gee,
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehna,
Mujhay Aansoo nahi'n kehnaa,
Mujhay aankho'n mai'n bastaa ik hasee'n sapnaa he keh daina,
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n,

Magar tehro,

Mujhey sapna nahi kehna,
Ke sapnay toot jaatay hai'n,
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehna,
Ke apnay rooth jaatay hai'n...!!

Kash koi aisa hota,
jis say mil kay dil ka bojh kam hota,
jo dukh ko samajhta,
jo sukh ko pehchanta,
kash koi aisa hota,
jis se milnay ki tamanna dil meN hotee,
jo muntazir hota,
jo bayqarar karta,
kash koi aisa hota,
jis ko taknay say benaai aati,
jo jism meN rooh sa hota,
jo dil meN dhaRkan saa hota,
kash koi aisa hota,
jis key liye saaNs lenaa maqsad hota ,
jo khushi ka sabab hota,
jo soch ka mehwar hota,
kash koi aisaa hota ,
jis main apnaiyat hotee,
jo sirf mera hota,
aur,
jis ke liye sirf meiN hota ,
kash koi aisaa hota ...!!

Raat ki gehri khamoshi main,
chupkay se dheemay se,
sergoshi main,
koi mujh se bola,
suno,
tum wohi ho na jo raat hotay he,
meri Ankhon mai utar aati ho,
meri aankhon mai jugnoon ki tarha,
roshan ho jati hai,
ek roshan taray ki tarha,
neendo main utar aati ho,
tum wohi ho na?
Main boli,
haan main wohi hon,
Woh bola, bohut buri ho,
meri neenden ura ker,
khud chain se so jati ho..!!