22 November 2011

Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai
Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat

Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

Dil per paani peeney ati hain umeedien

Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai

Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon

Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai

Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao

Esa zakham to dil per khaya jasakta hai

Phatta purana khawb hai mera phir bhi "Dost"

Is mein apna aap chupaya jasakta hai........!!