Poochte ho to suno kaun hoon main,
chand simte hue ashaar hoon main,
Sirf tareef se yahan kuch nahi hota,
aapki duaon ka talabgaar hoon main,
Bayaan-e-dil pesh karta hoon jabh,
log kehte hai dil-e-beemar hoon main,
Bolun agar khara to hoon shamsheer,
aur agar likh daalon to talvaar hoon main,
Tareef karne par agar utar aaon kabhi,
to gulfaam hoon mai, gulzaar hoon main,
Jazbaat ko savaarna jaanta hoon bahut khoob,
shayeri ka sar-taj hoon, shahkaar hoon main,
Lafzon se yun khelna sabko nahi aata,
mujhe aata hai, samajhdaar hoon main,
Hain aur bhi sukhanwar is hunar ke dost,
math bolo ke 'Tanha' gunhagaar hoon main........!!