Jaisa keh mujhey tum samjhe hoo
Esa to na main pehlay tha
Jaisa keh main ab dikhta hon
Esa to na main pehlay tha..!!
Jab mai nay mohabbat ki thi tab
Main adab-e-wafa sey waqif tha..!!
Ik shaks ko socha kerta tha
Bas uss sey milan ki chahat thi
Nazron ko zarurat uski thi
Bas ik chehray ka qaail tha...!!
Dil key har darwaze per
Bas uski dastak hoti thi
Zehan key har ik konay mai
Bas baat usi ki hoti thi...!!
Tehrir kiyee mazmoon-on mai
Bas naam usi ka hota tha
Unwan bohat thay per un mai
Bas khayal usi ka hota tha...!!
Duniya bhalay thi wasih bohat
Bas meri duniya us mai thi
Mehboob bhi tha, Matloob bhi tha
Maghrur bhi tha, Mehzuz bhi tha...!!
Jaisa keh mujhey tum samjhe hoo
Esa to na main pehlay tha
Jaisa keh main ab dikhta hon
Esa to na main pehay tha...!!
Jab mai nay muhabbat ki thi tab...!!
Main adab-e-wafa sey waqif tha!!!
Esa to na main pehlay tha
Jaisa keh main ab dikhta hon
Esa to na main pehlay tha..!!
Jab mai nay mohabbat ki thi tab
Main adab-e-wafa sey waqif tha..!!
Ik shaks ko socha kerta tha
Bas uss sey milan ki chahat thi
Nazron ko zarurat uski thi
Bas ik chehray ka qaail tha...!!
Dil key har darwaze per
Bas uski dastak hoti thi
Zehan key har ik konay mai
Bas baat usi ki hoti thi...!!
Tehrir kiyee mazmoon-on mai
Bas naam usi ka hota tha
Unwan bohat thay per un mai
Bas khayal usi ka hota tha...!!
Duniya bhalay thi wasih bohat
Bas meri duniya us mai thi
Mehboob bhi tha, Matloob bhi tha
Maghrur bhi tha, Mehzuz bhi tha...!!
Jaisa keh mujhey tum samjhe hoo
Esa to na main pehlay tha
Jaisa keh main ab dikhta hon
Esa to na main pehay tha...!!
Jab mai nay muhabbat ki thi tab...!!
Main adab-e-wafa sey waqif tha!!!