suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam,
muhabat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai,
suna hai wahan diloon ka milan hota hai,
rohoon ka visal aur hijar ka inkar hota hai,
wahan zulf bikhray tu raat ka aalam,
jo simtay tu savera hota hai,
suna hai ashk jab koi bahaiy tu,
wahan sawan ka mousam hota hai,
taara jab bhi tootay kaheen asmaan may,
nazuk hatoon may kushkool-e-dua hota hai,
suna hai wahan kalaam karti hain muabtain,
nafratoon ka qatal-e-aam hota hai,
suna hai wo bhi makeen hai teri basti ka,
jo sadiyun se rooh-e-jaan hamari hota hai,
usko salam-e-muhabat kehna
jiski ankh may ashk meray naam ka hota hai
wo bhi sahiyad mehsoos karta ho,
dard jo firaaq may yahan hota hai,
uski muskaan ka bhi aalm kuch biyaan ho,
kia ab bhi usay dekh kar chandni ka guman hota hai,
suna hai ab bhi wo nazar jhuka kar milta hai,
kaheen ankh may uski piyar ka rang hota hai,
chalo us basti ki janib chaltey hain Qais,
jahan rang-e-qos-qazah, aur raqs ishq may hota hai....!!