wo khaloos tha k khumar tha,
wo janoon tha k saraab tha,
wo janoon tha k saraab tha,
mujhe sochne mein zamana laga ,
mujhe munzilon ne bhoola diya ,
mujhe jis maseeha pe maan tha ,
mujhe jis maseeha pe maan tha ,
mujhe us ne sooli charha diya ,
kai humsafar kai rah-guzr ,
mujhe raste mein mile magar ,
meri tushnagi kuch or hai ,
meri tushnagi kuch or hai ,
meri justajoo koi or hai ,
wo jo roshni ki tarha barhey ,
magar ansuon mein sama sakey ,
jo subha ki pehli kiran bane ,
jo subha ki pehli kiran bane ,
mere dil ka aangan nikhaar de ,
jo muhabbaton ki ravaytein ,
laho ki bali se sanwaar de ,
mujhe us wafa ki talaash hai ,
mujhe us wafa ki talaash hai ,
mujhey us wafa ki talaash hai ,
magar is jahaan-e-kharab mein ,
magar is jahaan-e-kharab mein ,
yahaan khwahishon k saraab mein ,
mujhe kon de aisi wafa ,
mujhe kon de aisi wafa ,
mein kahaan se laoon wo wafa ,
inhi uljhanon mein ghira hua ,
Yehi sochta mein chala gya.....!!