Aa moj e
hawa ab tu hi bata,
Wo yar
hamara kaisa hai?
Jo bhool
gaya hum ko kab se,
Wo jaan
se pyara kaisa hai ?
Kia us
ko jeewan lamho mein,
Koi
lamha mera baqi hai ?
Kia uski
jaagti aankhon main,
Meri
yaad se phaili udasi hai ?
Kia wo
bhi meri tarah yun hi,
Shab
bhar jaga kerta hai ?
Kia wo
bhi saya-e-rehmat main,
Hamain
RAB se manga karta hai ?
Agar
aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad
use Kion kertay hain ?
Wo humse
bicher ker khush hai agar,
To hum
pal pal kyon marte hain...!! ?