17 April 2012


Teri aankhoon si aankhen,
Aaj Ik Chehre Pe Dekhi Hain,
Wo hi Rangat, Wo hi Banawat,
Aur Wesi Hi Be Rukhi Un Mein,
Bicharte Waqt Jo Main Ne,
Teri Aankhon Mein Dekhi Thi,

Teri Aankhon Si Aankhon Ne,
Mujhay Ik Pal Ko Dekha Tha,
Wo Pal Ik Aam Sa Pal Tha,
Magar Uss Aam Se Pal Mein,
Puranay Kitney Mousam,
Kitney Manzar Main Ne Dekhy The,
Meri Jaan Main Samjha Tha,
Teri Aankhon Si Aankhein Jab,
Meri Aankhon Ko Dekhein Gi,
To Ik Lamhe Ko Sochein Gi,
Ke In Aankhon Ko Pehle bhi,
Kisi Chehre Pe Dekha Hai,

Magar in Jheel Aankhon Mein,
Shanasayii Nahi Jaagi,
Meri Aankhein,
Teri Aankhon Si Aankhon ke Liye,
Kab Khas Aankhein Then,
Teri Aankhon Ne Shayed Ye,
Kayii Chehron Par Dekhi Hon,
Ke Ye To Aam Aankhein Hain,

Main Aisa Soch Sakta Tha,
Magar Main Kya Karon Dil Ka,
Jo Ab Ye Yaad Rakhay Ga,
Teri Aankhon Si Aankhein,
Main Ne Ik Chehray Pe Dekhi Thin,
Phir Uss ke Baad Kitne Din,
Meri Aankhon Mein Sawan Tha...!!