Suna hai
raygani ki kahani likh rahe ho tum
Kahaan
se lafz laaogay
Ibaarat
kya banaaogay
Jo
lehjay mein hai dukh ka zaiqa
Kaise
chupaogay?
Agar
thehreer likhogay
Muhabbat
ki gawaahi se
Judae ki
seyaahi se
Qalam ki
aankh royegi
Sabhi
asloob
Saray
ist'eaaray rooth jayenge
Jo dil
per band baandhay hain
Woh
saaray toot jayenge
Kisi
likh kar mutaee satar per
Jab
dheyaan thehrayga
Tu ek
be-naam rishta
Zeest ka
unwaan thehray ga
Ussay
jhutlaaogay kaisay
Bayaan
kar paaogay kaisay?
Azzeyyat
ke hawaaloon ko
Muhabbat
ki musaaloon ko
Kisi
kirdaar ke dil per paray
Zakhmoon
ko, chaaloon ko
Bikhartay
khwaab likhogay
Kahaani
mein jahaan per hijar ka tum baab likhogay
Kahoo
hai taab?
Likhogay?
Kahaani
mein umooman aakhri safhay pe aa kar hi
Diloon
ke chaak siltay hain
Ya
wirsay dukh ke miltay hain
Magar
tum khol bethay ho yeh safha shaam se pehlay
Muqaam-e-sabar
se pehlay
Hadd-e-ilzaam
se pehlay
Kahaani
khatam hi karni hai gar
Anjaam
se pehlay
Tu yeh
bhi faisla kar do
Ke hum
likhain tu kya likhain
Tumhare
naam se pehlay ..!!